Neez hum taqdeer ko buniyad bana kar ma'asiyat ka artakab karne walo'n se kaheinge:
Aap neki aur ita'at ka ekdaam kyon nahin karte, yeh farz karte hue ke Allah ne aap ki yahi taqdeer likhi hui hai, ita'at aur ma'asiyat mein us aitbaar se koi farq nahin hai balke fa'al saadir hone se pehle laa ilmi mein aap ke liye dono'n barabar hain, isiliye Aa'n Hazrat sallallah alaihi wa sallam ne jab Sahaba karam raziAllahu anhum ko yeh khabar di ke tum mein har ek ka Jannat aur Jahannam dono'n mein thikaana muqarrar kar diya gaya hai toh unho'n ne arz ki ke aaya hum amal tark kar ke isi par aitmaad na kar lein? Aap ne farmaya: nahin, kyon ke jis ko jis thikaane ke liye paida kiya gaya hai usi ke amaal ki taufeeq use maisar aati hai...
Neez apni ma'asiyat par taqdeer se hujjat pakadne waale se kaheinge ke:
agar aap ka makka ke liye safar ka iraada ho, aur us ke do raaste ho'n, aap ko koi qaabil aitmaad aadmi khabar de ke ek raasta un mein se khatarnak aur taqleef deh hai, dusra aasaan aur pur aman hai, toh yaqeenan aap dusra raasta hi ekhtiyar kareinge, aur naa mumkin hai ke yeh kahte hue pehle pur khatar raaste par chal niklein ke meri taqdeer mein yahi likha hua hai, agar aap aisa kareinge toh aap ka shumar dewaano'n mein hoga...
...
Neez hum us se yeh bhi kaheinge ke: agar aap ko do mulaazmato'n ki peshkash ki jaaye, un mein se ek ka mushaihrah zyada ho toh aap kam tankhawah ki bajaaye zyada tankhawah waali mulaazmat ekhtiyar kareinge, toh phir amal aakhrat ke silsile mein aap kyon kar adna ajrat ko ekhtiyar karte hain aur phir taqdeer ko hujjat banaate hain...
...
Neez hum us se yeh bhi kaheinge ke:
jab aap kisi jismani bimaari ka shikar hote hain toh ilaaj ke liye har doctor ke darwaze par dastak dete hain, opretion ki taqleef aur kadwi dawa pure sabr se bardasht karte hain, toh phir apne dil par marz ma'asiyat ke humle ki surat mein aap aisa kyon nahin karte...
...
Aur humara imaan hai ke Allah ta'ala ki kamaal rahmat wa hikmat ke peshenazar shar ki nisbat us ki taraf nahin ki jaati, Nabi sallallah alaihi wa sallam ne farmaya:
"aur shar teri taraf (mansoob) nahin hai"(sahih Muslim)
...
Fi nafs Allah ki qazaa mein kabhi shar nahin ho sakta, kyon ke wah uski rahmat wa hikmat se saadir hoti hai, balke uske mutqaziyaat wa nataayej mein shar ho jaata hai (jo bando'n se saadir hote hain)
Hazrat Hasan raziAllahu anha ko Aap sallallah alaihi wa sallam ne jo duaye qanoot ta'aleem farmayi us mein Aapka irshaad hai:
"mujhe apni faisla karda'h cheez ke shar se mehfooz rakh"...
...
Us mein shar ki izaafat mutqazi yaani qaza ke nateeje ki taraf hai, aur phir mutqaziyat wa nataayej mein bhi mahaz aur khalis shar nahin hai, balke wah bhi ek aitbaar se shar hota hai toh dusre aitbaar se khair, neez ek muqaam par wah shar nazar aata hai toh dusre muqaam par wahi khair mehsoos hoti hai...
Maslan khusk saali, bimari, faqeeri aur khauf waghaira tamaam cheezein fasaad fi alarz hain, lekin dusre maqaam aur nukte nazar se yahi cheezein khair wa bhalayi hain, irshaad baari ta'ala hai:
Khushki aur tari mein logo'n ki bad aamaaliyo'n ke ba'as fasaad phail gaya. Is liye ke unhein un ke ba'az kartooto'n ka phal Allah ta'ala chakha de (bahut) mumkin hai ke wah baaz aa jaayein. (41)
Surah Ar-Rom...
...
Aur chor ko haath kaatne ki saza, shaadi shuda'h badkaar ko rajam (sangsaari) ki saza, chor aur zaani ke liye toh shar hai kyon ke ek ka haath zaaye hota aur dusre ki jaan jaati hai, lekin ek aitbaar se toh yeh un ke liye bhi khair hai ke gunaaho'n ka azaala hota hai, Allah ta'ala unke liye duniya wa aakhrat ki saza jama'a nahin farmaate...
Aur dusre muqaam par yeh us aitbaar se khair hai ke us se logo'n ke maalo'n, izzato'n aur nasbo'n ki hifazat hoti hai...•
...
...
...
Mere is Post ka maqsad yeh hai ke log yeh nahin kahein ke"har cheez Allah ke hi marzi se hota hai"...
Aisa kehne par Allah ko zulm karne waalo'n mein se saabit karta hai, kyon ke aise alfaaz mein har cheez aa jaane par zulm bhi aa jaata hai...
Maslan Jhoot, chughalkhori, chori, begunaaho'n ka qatl karna, sharab peena, zana in sab ki saza Allah ta'ala ko zulm karne waalo'n mein se bana deta hai kyon ki yeh toh Allah ki marzi hai...
Lekin zulm na karna Allah ta'ala ki shifat mein se hai...
Isliye yeh hargiz na kahein ke "har cheez Allah ta'ala ki marzi se hi hota hai"
insaan ko Allah ne ekhtiyar de rakha hai ke woh apni marzi se achchhayi ya burayi kar sake...
...
Allah ta'ala har Muslimo'n ko sochne wa samajhne ki taufeeq ata farmaye, Aameen... ...

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide