Pin It

Madad Kis Se Maangna Chahiye


Couch ModePrint
Image result for islamBismillahir rahmanir raheem,

khaatimul ambiya, habeeb e khuda, hazrat mohammad sallallah o alayhi wasallam, us waqt dunya me tashreef laate hai, jabki rasoolon ki di hui taaleem mit chuki hai, unki raahen be nishaan ho chuki hain, dunya tauheed ko bhula chuki hai, jagah jagah makhlooq parasti ho rahi hai, sooraj ,chaand, sitaare, aag, paani, but ,wagairah ki pooja ki ja rahi hai, khuda ka deen badal chuka hai, kufr ki taareeki chha chuki hai, dunya ka chappah chappah ,kona kona, sar kashi, aur zyaadati se bhar gaya hai hai, adl o insaaf mit chuka hai, insaaniyat bhi fana ho chuki hai, jihaalat aur kam fahmi ka daur daurah hai, sewaa e baaz nufoos ke khuda ka naam lewa zameen par koi nahi raha, 

pas maloom hua ki aap sallallah o alayhi wasallam ki jalaalat aur izzat khuda ke paas bahut badi thi, aur aap sallallah o alayhi wasallam ne jo khudaai risaalat ada ki woh koi maamooli risaalat nahi thi,

Mere azeez dost! Tamaam ambiya alayhimussalam. Isi liye bheje gaye the, ki logon ko taaleem den, aur sikhaayen, ki allah ke saath kisi ko shareek na karo, allah hi ki ibaadat karo, aur allah hi se madad maango, aur insaan paida bhi isi liye kiya gaya hai, magar insaan apni nafsaaniyat aur jihaalat ki wajah se bhool jaata hai, ya zid me aakar jaante huye bhi ultaa karne lagta hai?

ALLAH t,aala apne kalaam majeed ke andar sore faatiha me irshaad farmaata hai, IYYAAKA NAABUDO W,IYYAAKA NASTA,EEN?

HAM TERI HI IBAADAT KARTE HAIN, AUR TUJH HI SE MADAD MAANGTE HAIN,,

KAAMIL ITAA,AT AUR POORE DEEN KA HAASIL SIRF YAHI 2 BAATEN HAIN,

HAZRAT QATBDA RAHMATULLAH ALAYHI FARMAATE HAIN, KI ALLAH TA,AALA KA HUKM HAI, KI TUM SAB USI KI KHAALIS IBAADAT KARO, AUR APNE TAMAAM KAAMON ME SIRF USI SE MADAD MAANGO?

Tafseer ibn kaseer, safha 35, sore faatiha ki tafseer me?

Mere dosto! Aaj woh log sochen. Aur samjhen, jo namaaz me rozaana 5 waqt me kai martaba allah ke saame namaaz padhte huye is baat ka iqraar karte hain,

{HAM TERI HI IBAADAT KARTE HAIN , AUR TUJH HI SE MADAD CHAAHTE HAIN?}

ye aayat e kareema yani { iyyaaka naabudo, w.Iyyaaka nasta,een} baar baar padhte hain, ye iqraar bhi kar rahe hain, aur jab namaaz padh li to allah hi ke ghar me, usi musalle par se jab uthte hain, to allah ko chhod kar 2sron ko haazir o naazir aur nafa o nuqsaan me madad gaar samajh kar , usi waqt unka naara lagaa kar uthte hain, mere doston, aap hi faisla karen, koi had bhi hai is jihaalat ki ka?..,

ALLAH TA.AALA HAM SABKO KEHNE SUN NE SE ZYADAH AMAL KI TAUFEEQUE ATA FARMAYE...Ameen

Al quran, para 9, sore aaraf, ayat 197?

Aur tum jin logon ki allah ko chhod kar ibadaten karte ho, woh tumhari kuchi madad nahi kar sakte, aur na woh apni madad kar saktehain?

Jinko tum poojte ho, na woh tumhen kuch madad de sakte hain, aur na woh khud ki kuch madad kar sakte hain, baqaul nasaara maseeh a.s. Ko yahood ne sooli di, aur woh kuch na kar sake, isi tarha aur buzurg jinko tum poojte ho, maut aur beemari se nijaat na pasake, {aur woh tumhari kya madad karenge}

Tafseer haqqaani, jild 4, safha 179

? ..... Is aayat e shareefa me 2 baaten bataai ja rahi hain, ek to ye ki tum log allah ko chhod kar jin jinko pooj rahe ho, aur nazr o niyaaz chadhaa rahe ho, aur unke naam ke naare laga rahe ho, is ummeed par ki ye hamaari madad karenge, woh nabi a.s. Hon, ya wali r.m. , jinn hon, ya farishte, ya allah ki makhlooq me se koi bhi ho, woh tumhari kuch bhi madad nahikar sakte,?

2sri baat ye bataai ja rahi hai ki woh khud apni madad bhi nahi kar sakte woh tumhari kya madad karenge?

Ab pehli baat ko samjhen, hazrat aadam alayhis salam apne bete haabeel ko na bacha sake, aur qaabeel ne unko jaan se maar daala, hazrat nooh alayhis salam apne bete ko na bacha sake woh sailaab me gharq ho gaya, hazrat loot alayhis salam apni biviko na bacha sake woh halaak ho gai,

Hazrat nooh alayhis salam apni bivi ko na bacha sake woh sailaabme gharq ho gai,

Huzoor sallallah o alayhi wasallam apne saahab zaade hazrat ibraaheem alayhis salam ko na bacha sake, woh aap sallallah o alayhi wasallam ki god me hi wafaat pa gaye,

Imam husain raziyallah o anh ke saam ne aap ke chaahne waalon ko aur masoom bachchon ko bhi shaheed kar diya gaya, lekin woh na bacha sake?

2sri baat ye hai ki woh khud apnibhi madad nahi kar sakte, woh aapki kya madad karenge?

Iblees ke gale me laanat ka tauq daal diya gaya, lekin woh khud apni madad na kar saka,

Hazrat aadam alayhis salam ko jannat se baahar kar diya gaya, lekin woh khud apni madad na kar sake,

Hazrat ibraaheem alayhis salam ko aag me daal diya gaya, lekin woh khud apni madad na kar sake,

Hazrat moosa alayhis salam bahreqalzam ke kinaare khade rahe, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Hazrat younus alayhis salam ko machli ke pet me daal diya gaya, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Huzoor nabi kareem sallallah o alayhi wasallam 3 din tak ghaar me chhipe pade rahe, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Hazrat ameer hamzah raziyallah oanh shaheed ho gaye, lekin apni madad nahi kar sake,

Hazrat umar raziyallah o anh ko ek ghulaam ne shaheed kar diya, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Hazrat usman ghani raziyallah o anh ko bhooka pyaasa shaheed kar diya gaya, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Hazrat imam hasan raziyallah o anh ko zaher de kar shaheed kardiya gaya, lekin woh khud apni madad nahi kar sake,

Hazrat imam husain raziyallah o anh ko karbala ke maidaan me ma khaandan ke shaheed kar diya gaya, lekin na to woh apni madad kar sake, aur na to woh 2sron ki madad kar sake,

In muamilat me ye buzurg hastiyan apni hayaat me na to 2sron ki madad kar saken, na to apne aapki madad kar saken, nabi, wali, peer, ghaus, qutub, jin,farishta koi bhi allah ki di hui qudrat ke daaera se baahar kisi ki madad nahi kar sakte,.

Jab woh apni zindagyon me is baare me madad ke mukhtaar nahi the, to phir wafat ke baad hamaari madad kaise kar sakte hain?

Agar wafat ke baad bhi madad kar sakte to huzoor sallallah o alayhi wasallam , hazrat umar raziyallah o anh ki hazrat usman ghani raziyallah o anh ki , aur hazrat ali raziyallah o anh ki, madad zaroor karte?

Aur ma,arkah e kar balaa me to huzoor sallallah o alayhi wasallam, aur hazrat ali raziyallah anh, aur imam hasan raziyallah o anh ki, aur tamam sahaaba e kiram raziyallah anhum , jo dunya se guzar chuke the, sab ke sab imam husain raziyallaho anh ki madad ko b jaate, lekin koi kuch bhi madad na nahi kar sake?

To phir...
jalaal shah,aur kamaal shah,
zaahir shah, aur baatin shah,
raushan shah, aur andher shah,
ghaiban shah, aur daawal shah,
yateem shah, aur ameer shah,
patte shah, aur matke shah,
chhota peer, aur bada peer,
tumhari kya madad karenge,

Zara socho bhi to jab nabi kareem sallallah o alayhi wasallamaur sahaaba kiraam rizwaanullah o alayhim ajmaeen bhi madad na kar sake, to phir auliya allah ko haazir naazir aur mustaqil madadgaar samajhna khula shirk nahi to aur kya hai?

Jo kuch bhi maangna ho allah hi se maango, kyon apna emaan khote ho?

Al quran, para 9, sore aaraaf, ayat 192?

Aur woh unko kisi qism ki madad nahi de sakte, aur woh khud apni bhi madad nahi kar sakte?

AL QURAN, SORE BANI ISRAIL, AYAT 67?

SAMANDAR ME MUSEEBAT PAHUNCHTE HI,
JINHE PUKAARTE THE,
UN SABKO BHOOL JAATE HAIN,
SIRF WAHI KHUDA BAAQI RAH JAATA HAI,
PHIR JAB WOH TUMHEN KHUSHKI KI TARAF BACHAA LAATA HAI,
TO MUNH PHER LETE HO,
INSAAN BADA HI NA SHUKRA HAI?

ALLA TABAARAK O TA,AALA KA IRSHAAD HO RAHA HAI, KI BANDE MUSEEBAT KE WAQT TO KHULOOS E DIL KE SAATH APNE PARWAR DIGAARKI TARAF JHUKTE HAIN,
USI SE DILI DUAAYEN KARNE LAGTE HAIN,
AUR JAHAAN WOH MUSEEBAT ALLAH NE TAAL DI,
KI YE AANKHEN PHER LETE HAIN?

FATAH MAKKAH KE WAQT JABKI ABUJAHAL KA LADKA IKRAMA HABSHA JAANE KE IRAADE SE BHAAGAA,
AUR KASHTI ME BAITH KAR CHALAA,
TO ITTEFAAQAN KASHTI TOOFAAN MEPHANS GAI,
HAWA KE JHOONKE USE PATTE KI TARHA HILAANE LAGE,
US WAQT KASHTI ME JITNE KUFFAARTHE,
SAB KE SAB EK 2SRE SE KEHNE LAGE,
IS WAQT SEWAA E ALLAH TA,AALA KE,
AUR KOI KUCH KAAM NAHI AAYEGA,
USI KO PUKAARO,
IKRAMAH KE DIL ME USI WAQT KHYAAL AAYA,
KI JAB TAREE ME SIRF WAHI EK AKELAA ALLAH KAAM AA SAKTA HAI,
TO ZAAHIR HAI KI KHUSHKI ME BHI WAHI ALLAH KAAM AA SAKTA HAI,
{TO US WAQT APNE DIL ME QASD KIYA} KHUDAAYA MAIN NAZAR MAANTA HON,
KI AGAR TOONE MUJHE IS AAFAT SE BACHA LIYA,
TO MAIN SEEDHA JAA KAR MOHAMMAD SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM KE HAATH ME HAATH DE DONGA,
AUR YAQEENAN WOH MUJH PAR MEHARBAANI AUR RAHAM O KARAM FARMAYENGE,
CHUNAANCHE SAMANDAR SE PAAR HOTE HI,
WOH SEEDHE RASOOL E KAREEM SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM KI KHIDMAT ME HAAZIR HUYE,
AUR ISLAAM QUBOOL KIYA,
PHIR TO ISLAAM KE PEHLAWAAN SAABIT HUYE,
RAZIYALLAH O ANH?

Tafseer ibn kaseer, safha 56, sore bani israil ke 7 ruko ki tafseer me?

MERE DOST,
YE MAT SAMAJHNA KI US ZAMAANE ME JABKI QURAN KAREEM NAAZIL HORAHA THA,
KOI ALLAH T,AALA KO MAAN NE WAALA hi NA THA,
YE KHYAAL AAPKA BILKUL GALAT HAI,
US ZAMAANE ME BHI ALLAH T,AALA KO BARAABAR MAANTE THE,
PHIR BHI SHIRK O KUFR KARTE THE?

MUSHRIK 2 QISM KE THE,
BALKI AB BHI HAIN,
EK TO WOH JO PATTHAR YA AUR CHEEZON KI MOORTIYON KO POJTE THE,
AUR 2SRE WOH JO BUZURGON KO POOJTE THE?

Tafseer haqqaani , jild 5, safha 34,
sore nahl ke 10 ruko ki tafseer me?

AKSAR UMMATEN KHAALIQ KE WAJOOD KE QAAYEL THEN,
{AUR WOH IS BAAT KO MAANTE THE KI KHUDA KE SEWA AUR KOI KUCH BHI NAHI KAR SAKTA}
PHIR BHI AURON KI IBAADAT UNHE WASEELA DEKAR, WASEELA JAAN KAR , KHUDA SE NAZDEEK KARNE WAALE , AUR NAFA DENE WALE SAMAJH KAR KARTI THEN?

Tafseer ibn kaseer, para 13, safha 59, sore ibraheem ke 2 ruko ki tafseer me?

AFSOS AAJ HINDUSTAN KE BAAZ JAAHIL MUSALMAN BHAAIYON KI BHI YAHI JIHAALAT HAI,
JO AGLE KAAFIRON AUR MUSHRIKON KI THI?...

Al quran,sore zumar, ayat 3?. .

Aur jin logon ne allah ke sewa auliya bana rakhe hain,
woh kehte hain ki ham unki ibaadt sirf is liye karte hain,
ki ye buzurg allah ke nazdeeki kemartaba tak hamaari risaaee kardenge?

Sore aaraf, ayat 192,
aur woh unko kisi qism ki madad nahi de sakte,
aur WOH TO KHUD APNI BHI MADAD NAHI KAR SAKTE?

. HAZRAT ANAS RAZIYALLAH O ANH FARMATE HAIN KI RASOOLALLAH SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM NE FARMAYA,
TUM ME SE HAR EK APNI TAMAM HAJATEN APNE PARWAR DIGAAR SE MAANGE,
YAHAN TAK KI JOOTIYON KA TASMAHTOOT JAAYE,
TO WOH BHI ALLAH HI SE MAANGE?

Tirmizi sharif , jild 2 , safha 349, hadees 1461?

HAZRAT SABIT BUNAANI RAZIYALLAH O ANH SE RIWAYAT HAI,
KI RASOOLALLAH SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM NE FARMAYA,
TUM ME SE HAR SHAKHS ALLAH HI SE APNI HAAJAT MAANGE,
YAHAN TAK KI NAMAK BHI USI SE MAANGE,.?

Tirmizi shareef, jild 2, safha 349,hadees 1462?

Sore KAHAF, AYAT 102,

SO KYA PHIR IN KAAFIRON KA KHYAL HAI,
KI MUJH KO CHHOD KAR MERE BANDON KO APNA KAAR SAAZ YANI MADAD GAAR SAMAJHTE HAIN,
HAM NE IN KAAFIRON KI MEHMAANI KE LIYE DOZAKH KO TAYYAR KAR RAKHA HAI?

HAMNE WAHAN UNKE LIYE BJAAYE NIJAAT KE,
JAHANNAM TAYYAR KAR RAKHI HAI,
YE UNKI MEHMAANI AUR ZIYAFAT HAI,
DUNYA ME JO KUCH UN MAABODON KI IBAADAT ME KOSHISHEN KI THEN,
MAAL KHARCH KIYE THE,
IS TAREEQAH E BAATIL KO GALIB KARNE KE LIYE,
AHLE HAQ SE LADTE THE,
HAQ KO MITAANE ME MAAL O JAAN KHARCH KARTE THE,
AUR USKO DUNYA AAKHIRAT KI KAAMYABI SAMAJHTE THE?

Tafseer haqqaani, jild 5, safha 144, sore kahaf ruko 12, ki tafseer?

HAZRAT SAYYAD ABDUL QAADIR JEELANI RAHAMATULLAH ALAYHI FARMATE HAIN, JANAAB RASOOLALLAH SALLAH O ALAYHI WASALLAM SE RIWAYAT HAI,
AAP NE FARMAYA,
MAL,OON HAI,
WOH SHAKHS JISKA BHAROSA APNI JAISI MAKHLOQ PAR HO,
KITIN KASRAT SE HAIN WOH LOG JO IS LAANAT ME DAAKHIL HUYE,
BAHUTERI MAKHLOOQ ME SE 1 AADH HI HOGA,
JO HAQ T,AALA PAR BHAROSA RAKHTA HOGA,
AUR JISNE HAQ T,AALA PAR BHAROSA KIYA ,
TO BE SHAK USNE MAZBOOT KADAA THAAM LIYA,

AUR JISNE APNI JAISI{KAMZOOR MOHTAAJ} MAKHLOQ PAR BHAROSA KIYA,
USKI MISAAL AISI HAI,
JAISE KOI SHAKHS MUTTHI ME PAANIBAND KARKE{SAMJHE KI PANI PAR QABZAH KAR LIYA AUR}APNA HAATH KHOLE TO USME KUCH BHI NAZAR NAAAYE,

AUR TUJH PAR AFSOS MAKHLOQ TERIHAAJATEN 1 ,2 din POORI KAR DEGI,
3 DIN PORI KAR DEGI,
MAHEENA BHAR POORI KAR DEGI,
SAAL 2 SAAL POORI KAR DEGI,
. AAKHIR KAAR TANG AA JAAYEGI,
{AUR GHABRA KAR RUKH BADAL DEGI}

TOO HAQ T,AALA KI SOHBAT AKHTYAR KAR ,
AUR USI PAR APNI HAAJATEN PESH KAR,
KI DUNYA HO YA AAKHIRAT NA WOH TUJH SE KABHI TANG AAYEGA,
AUR NA GHBRAAYE GA?

Fiyooz yazdaani, safha 243, majlis 45?

AL QURAN. SORE SHORA, AYAT 31?

ALLAH KE SEWA AUR KOI BHI TUMHARA HAAMI AUR MADAD GAAR NAHI HAI?

DAFA BALAA KE LIYE AURON KO PUKAARTE HAIN,
YA HAASIL KARNE,
YA MUNAAFA ME,
AURON KI TARAF RUJOO KARTE HAIN,{YE SHIRK HAI,}

. Mazahar e haq, jild 1, safha 41?

JISNE GUMAAN KIYA KI BHALAAI YA BURAAI GAIR KI TARAF SE HOTI HAI,
WOH ALLAH T,AALA SE KAAFI HUA,
AUR USKI TAUHEED BAATIL HUI?

Ainul hidaaya, jild 1 safha 10, aqayed ka byan?

Al quran, sore aal e imran, ayat 68,?

ALLAH T,AALA EMAAN WALON KA HAAMI HAI,{AUR MADAD GAAR}?

AL QURAN, SORE ROOM , AYAT 47,

HAM PAR MOMINON KI MADAD LAAZIM HAI?

HAZRAT IBN ABBAAS RAZIYALLAH O ANH FARMATE HAIN,
KI 1 DIN MAIN RASOOLALLAH SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM KE PEECHE PEECHE THA,
KI AAP SALLALLAH O ALAYHI WASALLAM NE FARMAYA,
LADKE! MAIN TUJHE CHAND BAATEN SIKHAATA HON,
TOO INKI HIFAAZAT KAR,
ALLAH TERI HIFAZAT KAREGA,

ALLAH T,AALA {KE HUKM} KI HIFAZATKAR,
TOO ALLAH KO APNE ROO BAROO PAYEGA,
AUR JO KUCH MAANGNA HO,
ALLAH HI SE MAANG, AGAR MADAD TALAB KARNI HO TO ALLAH HI SE MADAD TALAB KAR,
AUR JAAN LE KI AGAR SAARI MAKHLOOQ IS BAAT PAR JAMA HO JAAYE,
KI TUJHE KUCH NAFA PAHUNCHANA CHAAHE,
TO TUJHE ITNA HI NAFA PAHUNCHA SAKTI HAI,
JITNA ALLAH T,AALA NE TERE LIYE LIKH DIYA HAI,

AURT AGAR SAB MIL KAR TUJHE NUQSAAN PAHUNCHANA CHAAHEN,
TO ITNA HI NUQSAAN PAHUNCH SAKENGE,
JITNA KI ALLAH T,AALA NE LIKH DIYAHAI,

QALAM UTHA LIYE GAYE. Aur KITAABEN KHUSHK HO GAYEEN?

Tirmizi shareef, jild 2, safha 77, hadees 378,
qyamat ka byan, miskat shareef,
mazahar e haq.

IS HADEES KI SHARAH ABDUL QADIR JEELANI RAHMATULLAH ALAYH FUTOOHUL GAIB ME FARMATE HAIN,
KI LAAYEQ HAI HAR MOMIN KO ,
KI KARE IS HADEES KO AAYENA APNEDIL KA,
PAS AMAL KARE IS PAR TAMAAM HARKAAT O SAKANAAT APNE ME,
TAKI SALIM RAHE DUNYA AUR AAKHIRAT ME,
AUR PAAVE IZZAT 2NO JAHAN ME,
BASABAB RAHMAT ALLAH T,AALA KE,.

Mazahar haq, jild 4, safha 257, tawakkul ka byan?

Ye hai GHAUS PAK RAHMATULLAH ALAYH KA FATWA,
MAGAR AAJ HAMARI JIHAALAT NE HAMKO AISA JAAHIL BANA DIYA HAI,
KI NA TO HAM QURAN KAREEM KI AAYATON PAR AMAL ,
NA HADEESON KI PARWAAH,
AUR NA FUQAHA E KIRAM KE FATAWON KA KUCH LIHAAZ?,

AL QURAN, SORE AALE IMRAN, AYAT 160?

EMAAN WALON KO ALLAH HI PAR BHAROSA RAKHNA CHAHIYE?

HAZRAT ABDUL QADIR JEELANI RAHMATULLAH ALAYH FARMATE HAIN,

SAAHABON! ITTEBAA KARO ,
BIDAATI MAT BANO,

Mawaafiqat KaRO,
MUKHAALFAT NA KARO,

TAABEDAAR BANO,
NA FARMAAN NA BANO,

MUKHLIS BANO,
MUSHRIK MAT BANO,

HAQ T,AALA KE MOWAHHID BANO,
AUR USKE DARWAZE SE MAT TALO,

USI SE MAANGO, AUR KISI SE MAT MAANGO,

USI SE MADAD CHAAHO,
AUR GHAIR SE MADAD NA CHAAHO,

USI PAR BHAROSA KARO,
AUR KISI 2SRE PAR BHAROSA MAT KARO?

Fiyooz yazdani, safha 253, majlis 47?

MERE DOSTON! EMAN WALON KO TO ALLAH HI PAR BHAROSA RAKHNA CHAAHIYE,
MAGAR AFSOS HAI KUCH MUSALMAANO PAR,
JO ALLAH KO CHHOD KAR,
2SRON PAR BHAROSA RAKHTE HAIN,
NAFA AUR NUQSAAN KE LIYE 2SRON KI TARAF NAZREN JAMAAYE HUYE ,
UMMEEDEN LAGAYE HUYE ,
AAS BAANDHE HUYE MAZAARON PAR BAITHE RAHTE HAIN,

KYA ISI KA NAM TAUHEED HAI,
1 ZAMAANA WOH THA KI TAUHEED KA DANKA MUSALMAANON NE SAAREZAMAANE ME BAJA DIYA,

AUR AAJ YE ZAMANA HAI,
KI SUNNAT WALJAMAAT KA DAWA KARNE WALE,
APNE AAP KO AASHIQAAN E RASOOL SAMAJHNE WAALE,
BAZ MUSALMAN BHAI TO KYA,
BALKI APNE AAPKO PEER,
MOLVI,
SOOFI,
AUR DARWESH KEHLAANE WALE BHI TAUHEED KA JANAAZAH NIKAAL CHUKE HAIN,
AUR 2SRON KO BHI IN HI AQEEDON PAR MAJBOOR KARTE HAIN,
JIN PAR KHUD AMAL KARKE TABAAH O BARBAAD HUYE HAIN,

INKE DIMAAGH AUR AQAL ME ITNI SI BAAT BHI NAHI BAITHTI KI TAMAM AMBIYA ALAYHIMUS SALAM JAB DUNYA ME BHEJE GAYE THE,
WOH SAB KE SAB TAUHEED SIKHAANE KE LIYE, AUR 2SRON KO CHHOD KAR,
ALLAH HI KI ZAAT PAR BHAROSA RAKHWAANE KE LIYE AAYE THE,

MAGAR HAAYE AFSOS HINDUSTAN KI JIHAALAT TERA SATTYA NAAS HO! TUNE HAMARE AKSAR BHAIYON KE EMAN KA MALYA MET HI KAR DIYA??

AL QURAN, PARA 14, SORE NAHL, AYAT 53,.

TUMHARE PAS JITNI NEMATEN HAIN,
SAB USI KI DI HUI HAIN,
AB BHI JAB TUMHEN KOI MUSEEBAT AA JAAYE TO USKI TARAF NALAH FARYAAD KARTE HO,
AUR JAHAN USNE WOH MUSEEBAT TUM SE HATAA LI KI TUM ME SE KUCH LOG APNE RAB KE SAATH SHAREEK KARNE LAG JAATE HAIN?

ALLAH WAAHID KE SEWA KOI MUSTAHIQ IBAADAT NAHI,
WOH LA SHAREEK HAI,
WOH HAR CHEEZ KA KHALIQ HAI,
MAALIK HAI,
PAALAN HAAR HAI,
USKI IBAADAT KHAALIS DAAIMI WAAJIB HAI,
USKE SEWA 2SRON KI IBAADAT KE TAREEQE AKHTYAAR NA KARNA CHAAHIYEN,
AASMAN O ZAMEEN KI TAMAAM MAKHLOQ KHUSHI YA NA KHUSHI ME USKI MAA TAHAT HAI,
SABKA LAUTNA USKI TARAF HAI,
KHULOOS KE SAATH USI KI IBAADAT KARO,
USKE SAATH 2SRE KO SHAREEK KARNE SE BACHO,
DEEN KHAALIS ALLAH KA HI HAI,
AASMAN O ZAMEEN KI HAR CHEEZ KA MALIK TANHAA WAHI HAI,
NAFA AUR NUQSAN USI KE AKHTYAAR ME HAIN,
JO KUCH USKE BANDON KE HAATH ME HAI,
SAB USI KI TARAF SE HAI,
RIZQ ,
NEMAT,
AAFIYAT,
AUR AARAM USI KI TARAF SE HAI,
USI KE FAZL O EHSAAN BANDON PAR HAIN,

AUR AB BHI IN NEMATON KO PAA LENE KE BAAD BHI TUM AISE HI USKE MOHTAJ HO,
MUSEEBATEN AB BHI SIR PAR SHAYAD AA JAAYEN,
SAKHTI KE WAQT WAHI YAAD AATA HAI,
AUR GIR GIRA KAR POORI AAJIZI KE SAATH KATHIN WAQT ME USKI TARAF JHUKTE HO,

KHUD MUSHRIKEEN MAKKAH KA BHI YAHI HAAL THA,
KI JAB SAMANDAR ME PHANS JAATE,
AUR HAWA KE JHONKE KASHTI KO PATTE KI TARAH JHAKOLE DENE LAGTE,
TO APNE THAAKUR DEVTAAON, BUTON,
PEERON,
FAQEERON WAGAIRA WAGAIRA SAB KO BHOOL JAATE,
AUR KHAALIS KHUDA SE LAU LAGAA KAR KHULOOS DIL SE ALLAH T,AALA SE BACHAAO AUR NIJAAT TALAB KARTE,

LEKIN KIRNAARE PAR KASHTI KE PAAR LAGTE HI APNE PURAANE KHUDA SAB YAAD AA JAATE,
AUR MABOOD HAQEEQI KE SAATH PHIR UNKI POOJA PAAT SHURO HO JAATI,

Tafseer ibn kaseer, para 16, safha 38,

ABDUL QADIR JEELANI RAHMATULLAH ALAYH FARMATE HAIN,

AY MUKHAATAB MAI TUJHKO MAKHLOQ KE PAAS DEKH RAHA HON,
NA KI KHAALIQ KE PAAS,
TOO NAFS, AUR MAKHLOOQ KA HAQ TO ADA KARTA HAI,
AUR HAQ T,AALA KA HAQ SAAQIT KARTA HAI,
USKI NEMATON PAR 2SRON KA SHUKRIYA ADA KARTA HAI,
YE NEMATEN JIN ME TO GHARQ HAI,
TUJHKO KISNE DI HAIN,
KYA KHUDA KE SEWA KISI 2SRE NE DI HAIN,
JO TO USKA SHUKRIYA ADA KARTA HAI, AUR USKO POOJ RAHA HAI,

Fiyoz yazdani,safha 231, majlis 43?

ARAB KE MUSHRIK HINDOUN JAISA AQEEDA RAKHTE THE,
JIS TARHA HINDO YE BHI KEHTE HAIN,
KI EESHWAR JO CHAAHTA HAI KARTA HAI,
USKE KHELAAF KOI KUCH BHI NAHI KAR SAKTA,

MAGAR PHIR BHI SAIKDON MABOOD BANA RAKHE HAIN, KAHIN DEVI POOJI JAATI HAI,
KOI HANUMAAN KO MAANTA HAI,
KOI MAHA DEV KI LING POJTA HAI,
KOI LAKSHMAN KI MORTI PAR JAL CHADHAATA HAI,

AUR PHIR HAR MULK ME HAR EK QAUM KA JUDA HI MABOOD HAI, AAG,
PAANI, SHAJAR,
AAFTAAB,
SITAARE KOI CHEEZ BHI NAHI CHHODI KI JISKO NA POJTE HON,

YAHI HAAJAT RAWA JAAN KA UNKO PUKAARNA ,
UNKI NAZR O NIYAAZ KARNA UNKI IBAADAT HAI,
AUR YE BHI KEHTE HAIN KI IN ME EESHWAR KI MAAYA HAI,
YE BHI BADI QURAT RAKHTE HAIN,
YAHI HAAL ARAB KE MUSHRIKON KA THA,

AFSOS HINDUSTAN KE JAAHIL MUSALMANO ME BHI HUNOOD KI SOHBAT KA ASAR AA GAYA,
YE BHI APNE BUZURGON KE SAATH QAREEB QAREEB YAHI BARTAAO KARNE LAGE ,

YE USKO TAWASSUL KEHTE HAIN,
AUR GAIR QAUMEN APNE BUZURGON SE AISE HI MUAAMILAAT KAREN TO USKO SHIRK QARAAR DETE HAIN,

Aur QAREEB QAREEB FEL EK HI HAI?

Tafseer haqqani, jild 5, safha 225,
sore momin ke 5 ruko ki tafseer me?
Assalam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatoho :)

ﻳَﺪْﻋُﻮ ﻣِﻦ ﺩُﻭﻥِ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻣَﻦ ﻟَّﺎ ﻭَﻣَﻦْ ﺃَﺿَﻞُّ ﻣِﻤَّﻦ ﻳَﺴْﺘَﺠِﻴﺐُ ﻟَﻪُ ﺇِﻟَﻰٰ ﻳَﻮْﻡِ ﺍﻟْﻘِﻴَﺎﻣَﺔِ ﻭَﻫُﻢْ ﻋَﻦ ﺩُﻋَﺎﺋِﻬِﻢْ ﻏَﺎﻓِﻠُﻮﻥَ

And who is more astray than he who invokes besides Allah those who will not respond to him until the Day of Resurrection, and they, of their invocation, are unaware.

ﺑﮩﮑﺎ ﮨﻮﺍ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﺁﺧﺮ ﺍُﺱ ﺷﺨﺺ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﺍﻭﺭ ﮐﻮﻥ ﮨﻮ ﮔﺎ ﺟﻮ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﻮ ﭼﮭﻮﮌ ﮐﺮ ﺍُﻥ ﮐﻮ ﭘﮑﺎﺭﮮ ﺟﻮ ﻗﯿﺎﻣﺖ ﺗﮏ ﺍﺳﮯ ﺟﻮﺍﺏ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﺳﮑﺘﮯ ﺑﻠﮑﮧ ﺍِﺱ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺑﮯ ﺧﺒﺮ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﭘﮑﺎﺭﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺍُﻥ ﮐﻮ ﭘﮑﺎﺭ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ
(Quran 46:5)

Bhaiyo aur Behno ye paigam paochane ka maqsad islah hai gaurse padho plz allah ke waste aur samjho plz
ye sabse share kare mushrik logo se chand sawal jinhone Allah ke siwa apne Hajatrawa; Mushkilkusha, Bigdi banane wala, Ghareeb nawaz, Ganj baksh bana rakhe hain, wo mushrik chahe muslim hon ya ghairmuslim.

sawal 1:
agar Allah ke siwa koi hasti mushkil door kar sakti hai to batao uss pukarne wale aur mushkul kusha ke darmiyan hajaro mill ki doori hai to wo zinda ya murda hazaro mill ki doori se pukarne wale ki pukaar ko sun sakta hai?,
yaad ho ki ye sifat sirf Allah ki hai.
"yadi ye saabit ho bhi jaaye"

sawal 2:
wo buzurg wo peer wo wali ya wo mushkil kusha itne faasle per awaz sun sakta hai to sawal ye paida hota hai ki kya wo buzurg duniya ki sabhi zubaano se waqif hai ki nahi?,
matlab hindi wala hindi main english wala english maib apna sawal paish karega panjab wala punjabi me faaras wala faarsi me kannad wala kannadi me pukaarega to sawal ye hai ki kya wo baba har zubban ko janta tha ya jaanta hai,
yadi wo zinda hai to kya wo duniya ki sabhi zubaane jaanta hai ?,
yaad ho ki ye sifat sirf Allah ki hai.
"yadi ye saabit ho bhi jaaye"

sawal 3:
yadi ek minute main saikdo, hazaro ya laakho, karodo logg apni mushkiley uss hajatrawa ke saamne paish karen to kya wo buzurg unki mushkilaat ek lamhe main sunn aur samajh leta hai ya uske liye line lagane ki zarurat padegi ?
yaad ho ki ye sunne ki sifat bhi sirf Allah ki hi hai.

sawal 4:
kya uss hasti ko kabhi neend bhi aati hai ya wo hamesha jaagta rehta hai?
yadi usko neend aati hai to hamarey paas uske sone ke samayo (time table) ki list honi chahiye ki ye kis samay sota hai aur kin kin samayo main jaagta hai taaki jab hum usse mange to wo jaaga hua ho yadi wo so raha ho to phir kya phayeda ya phir wo hamesha sota hai aur sote huye hi sabki sunta hai.
"yaad ho ki uss Alllah ko na kabhi oongh aati hai na kabhi neend wo hamesha apne kaam me mashghool rehta hai".

sawal 5:
ek shaks goonga hai ya koi pareshani hai bol nahi sakta yadi wo dil me apni mushkil ko paish kare to kya wo baba uske dil ki faryaad bhi sun kega ?
"yaad rahe ki wo sirf Allah hi hai jo dil ki faryaad ko sunta hai".

sawal 6:
insaan ko paidaish se maut tak mukhtalif chhoti badi pareshaniyo ka saamna hota hai,
agar Allah wo sab musibat door kar sakta hai to ghairullah ke pass jane ki kya zaroorat aur yadi inn chhoti badi musibato ko wo peer baba hal kar sakta hai to Allah ki kya zaroorat rahi"naauzubill ah".

sawal 7:
ghairullah tamam mushkil hal karne par qadir hai ya nahi?
yadi wo tamam mushkil hal karne par qadir nahi to ho sakta hai kuchh mushkil hal karne ka baida allah ne uthaya ho aur kuchh mushkil hal karne ka ikhtiyar makhlooq ko de diya ho.
to iss soorat main hamare paass ek fahrist honi chahiye ki kaun sa kaam allah ka hai aur kaunsa kaam ghairullah ka taaki maangne wala mushkul sahi zaat par paish kare.

sawal 8:
kya wo hasti jo mushkil ko door kar sakti hai to kya mushkil main daal bhi sakti hai, ya uski duty sirf hal karne par hai,
agar wo sirf mushkil hal kar sakti hai to mushkil main daalne wala kaun?
"zahir si baat hai ki wo Allah hi hoga matlab ye hua ki allah mushkil me daalne wala aur ghairullah nikaalne wala kitna hi bura ilzaam hai,
naauzubillah'ja bki Allah hi hai wo jo mushkil deta hai aur wahi Allah musibat se nikaalta bhi hai'."

sawal 9:
yadi mushkil me daalne wala Allah hai to allah to mushkil me daalna chahe aur wo peer, baba, ghairullah mushkil se nikaalna chahe to phir to jhagda hoga to iska faisla kya niklaiga ?

sawal 10:
kisi bhi nek ya ghalat aadmi ka janaza padhna ho to maghfirat ke liye Allah ko pukara jaaye ya inn ghairullaho ko pukara jaye?

iss tarah ke aur bhi bahut se sawal hain jinke zariye se hum musalman numa mushrik ya ghairmusalmano tak Tauheed ki dawat pahuncha saktey hain hiqmat ke saath. Allah Ta'ala hume Deen par, Tauheed par, siraate mustaqeem par qayam rakhey aur shirk o bidat, khurafaat se bachaye rakhey aur hamare bhaiyo aur bahno ko hidayat de jo seedhe raaste se bhatake huye hain.
AMEEN YA RABBAL ALAMEEN 

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed