Pin It

The Reality Of Tauheed (Monotheism)


Couch ModePrint
Image result for islamTAWHEED

TAWHEED KI SIFAT(IMPORTANCE) KO SAMJHNE SE PAHLE ,TAWHEED KA JANNA JAROORI HAI:

TAWHEED KA MATLAB HAI:
"ALLAH KO RUBUWIYAT AUR ULUHIYYAT ME AKELA SAMJHA JAAYE AUR POOJA PAATH(IBADAT) ME USKE SAATH KISI KO BHI SHAREEQ NA KIYA JAAYE, INSAANI JEEVAN(LIFE) ME ISI PAHLU ZYADA ZOR DIYA GAYA HAI,
INSAANI JEEVAN KA IS DUNIYA ME JO MATLAB ALLAH NE BATAYA HAI WAH YE HAI KI " INSAANO AUR JINNO KO MAINE APNI IBADAT KE LIYE PAIDA KIYA HAI", ISKA MATLAB YE HAI KI SIRF USKI HI IBADAT KI JAAYE,
IS SAARE DUNIYA, INSAANO AUR JINNO KE PAIDA KARNE KA MAQSAD SIRF ALLAH KE EK HONE KA AITRAAF KARAANA HAI,

JAISA KI RIWAYATON ME AATA HAI KI ALLAH NE HZ ADAM(AS) KO PAIDA KARNE KE BAAD UNKI PEETH SE SAARE INSANO KO NIKAALA AUR UNSE APNI RUBUWIYYA KA IQRAR KARAYA JAISE ALLAH KA IRSHAD HAI" AUR JAB TUMHARE RABB NE AADAM KE PEETH SE UNKI AULAAD KO NIKAALA AUR UNKO GAWAAH BANAYA UNKE UPER KYON MAIN TUMHARA RAB NAHI HOON?
UNLOGON NE KAHA "KYON NAHI"
(AL-ARAAF 172)

ISI TARAH RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE LOGON KO ISLAM KI TARAF BULANA SHURU KIYA TO MAKKA KE LOG AAPKE DUSHMAN BAN GAYE TO AAPNE UNSE KAHA KI "TUM SIRF EK BAAT MAAN LO,SAARE ARAB WA AZM KE MAALIK HO JAOGE, UNHONE PUCHA WO KYA HAI,

AAPNE KAHA KI "LA ILLAHA ILLALLAH" KO MAAN LO,

"LA ILAAHA ILLALLAH KYA HAI?

TAWHEED KA SABSE ACCHA PAATH(SABAK) HAI JAISA KI HADITH ME AATA HAI KI JISNE"LA ILAHA ILLALLAH PADH LIYA WAH JANNAT ME DAAKHIL HO GAYA"

ISI TARAH SE NEKI KE MUQABLE ME BURE KAAM AUR SUNNAT KE MUQABLE ME BIDAT SE UNKE MAHATW(IMPORTANCE) KA ANDAAZA LAGAYA JAATA HAI, THEEK USI TARAH TAWHEED KE MUQABLE ME SHIRK SE TAWHEED KE MAHATW HONE KA ANDAAZA LAGAYA JA SAKTA HAI, ALLAH NE SHIRK KI MUZAMMAT BAYAN KARTE HUE IRSHAAD FARMAYA "BESHAQ ALLAH NAHI MAAF KAREGA MUSHRIK KO, USKE ELAWA JISKO CHAHEGA"

ISKA MATLAB HAI KI, INSAN NE APNI ZINDAGI ME JITNE GUNAH KIYE HON, AGARCHE WO TAWHEED KO MAANTA HO ALLAH TAALA JAB CHAHE USE MAAF KAR SAKTA HAI,

RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA HAI KI"JISNE SACCHE DIL SE TAWHEED KO MAANA AUR USKE QUBOOL KIYA, WAH BESHAK JANNAT ME JAYEGA"

ISI TARAH EK IMARAT GIR JAATI HAI, USI TARAH AGAR INSAAN KE DIL ME TAWHEED KA IKRAAR NA HO TO USKA POORA DEEN AURAMAL BARBAAD HO JAATA HAI,

NIZAAM-E-DEEN ME TAWHEED KI WAHI HAISIYAT HAI, JO INSAN KE JISM ME DIL KI HAI, AGAR DIL ACCHA HAI TO SAARA JISM ACCHA RAHTA HAI, AGAR DIL ME KHARABI HAI TO POORA JISM KHARAAB HO JAATA HAI,

YAHI WAJAH HAI KI INSAAN KA KOI BHI AMAL TAWHEED KE BINA SAHI NAHI HO SAKTA,
TAWHEED KI MAHTW(IMPORTANCE) KA ANDAAZA IS BAAT SE HOTA HAI KI QUR'AN KE 3 PART HAIN
1-TAWHEED
2-KISAS(NABIYON KE QISSE)
3-AHKAAM

ISKA MATLAB HAI KI DEEN WA SHARIAT KI BUNIYAAD 3 CHEEZON PAR QAYAM HAIN, ISLIYE HUM DEKHTE HAIN KI SURAH IKHLAAS KO TIHAAI(ONE-THIRD) QUR'AN KAHA GAYA HAI, ISKA SIRF YAHI MAQSAD HAI KI SURAH IKHLAAS POORI TAWHEED KE BAARE ME UTRI HAI,

RISAALAT(NABIYON KO IS DUNIYA ME BHEJA JAANA) TAWHEED KA EK PART HAI,
KYONKI ALLAH HI KO SHARIAT BANAANE AUR KANOON BANANE WAALA TAWHEED KE PARTS ME SE HAI

RASOOLON KA PAHLI DAWAT LOGON KO TAWHEED-E-KHALIS KI TARAF BULAANA THA, USKE BAAT DUSRI DAWATEIN BHI, YAHI WAJAH HAI KI JAB MAKKAH KE MUSALMAANO KE TADAAT ME IZAAFA HONE LAGA TO UNHONE 360 JHUTHE KHUDAON KO CHHOD KAR TAWHEED KO APNA LIYA TO MAKKAH KE KAAFIRON NE UNHE TAKLEEF DENA SHURU KAR DIYA,

YAHA TAK KI MUSALMAANO KO USKI KEEMAT APNA GHAR BAAR , BIWI BACCHE, JAAN WA MAAL SABKO GAWA KAR ADA KARNI PADI AUR WO IS TAWHEED KO BAAKI RAKHNE AURUSKO PHAILANE KE LIYE MAKKAH SE HIJRAT KARKE MADINA CHALE GAYE,

LEKIN KUFFAR-E-MAKKAH TO UNKA NAAM YAANI KI TAWHEED KO JAD SE KHATM KARNA CHAHTE THEY ISI LIYE UNHONE MUSALMANO PAR HAMLA KAR DIYA,
LEKIN TAWHEED KI BAQA WA HIFAZAT KE LIYE MUSALMAANO NE BHI APNE BHAI WA BAAP KE KHILAAF TALWAREN CHALA DI,

HZ BILAL(RA) KO ISLIYE TAKLEEFEIN DI JAARAHIN THI WA EK ALLAH KO CHHODKAR JHUTE KHUDA KO MAAN LEIN,
LEKIN ARAB KE TAPTE HUE PATTHARON PARHZ BILAAL(RA) NE TAWHEED KI ASLI LAZZAT PAA LI AUR WAH APNE ALLAH KE PYAAR ME DOOBKAR UN JHUTE MABOODON KI IBADAT KARNE WAALON KO JHINJOD KAR RAKH DIYA,

TAWHEED KA IKRAAR YAANI ALLAH KE ADHIKAAR KA IKRAAR YAH INSAAF KI BUNIYAAD HAI, JO INSAAN IS HUKOOK KO NAHI PAHCHAAN SAKTA USSE IS TARAH KI NA INSAAFI AUR NAFARMANIYAN WAJOOD ME AYENGI JAISA KI AAJ KE ZAALIM AUR NASHUKR GUZAAR INSAANO SE WAJOOD ME AA RAHI HAIN TAWHEED EK AISA FAREEZA AUR JISKA ADA KARNA BAHUT HI ZAROORI HAI AUR USKI ADAYEGI ME JO CHEEZ RUKAWAT BANE WO RAASTE KA PATTHAR HAI,

JIS TARAH MANZIL TAK PAHUNCNE KE LIYE RAASTE KE PATTHARON KO THOKAR MAAR DI JAATI HAI USI TARAH TAWHEED KE HUQOOQ KO ADA KARNE KE LIYE HAR RUKAWAT KO THOKAR MAARNI HOGI, CHAHE WO KISI BHI MUSHKILME HO, TAWHEED KI HAKEEKAT AUR USKI AHMIYAT KHUL KAR SAAMNE AA JAANE KE BAAD YAH BAAT EK DAM SAAF HO GAYI HAI KI TAWHEED DEEN KA NA SIRF HISSA HAI BALKI YE SAARE DEEN KI MUHEET HAI AUR ISLAM KI BUNIYAAD HAI,

ALLAH HAME SAMJHNE KI TAUFIQ DE

TAWHEED KI QISMEIN(TYPES) AUR ZAROORATEIN

TAWHEED KI QISMEIM(TYPES) AUR JAROORATEIN(IMPORTANCE)


YAH BAAT KO SAABIT HAI AUR SAAF HAI KI ALLAH TAALA MAUJOOD HAI AUR ARSH PAR HAI, IS BAAT PAR SAB MUSALMAANO KA IMAAN HAI,
LEKIN ISKE BAWAJOOD YAH HAQIQAT HAI KIALLAH KE IMAAN KE TAKAAZON SE MUSALMAANO KI BADI TADAAT ISSE WAAQIF NAHI HAI,

ISLIYE WAH TAWHEED KI HAQIQAT,USKI QISMEIN AUR JARURATON SE GHAFIL AUR MUSHKIRAANA AQIDON KA SHIKAAR HAIN, ISLIYE ZAROORI HAI KI PAHLE ALLAH PAR IMAAN RAKHNE KA MATLAB AUR USKI ZAROORATON KO SAMJHA JAAYE, TAAKI TAWHEED KI SAHI HAQIQAT SAMAJH ME AA JAAYE ALLAH KE MANNE KE MATLAB YAH HAI KI YAH AQEEDA RAKHA JAAYE KI ALLAH HAR CHEEZ KA RAB AUR MAALIK HAI, WAHI HAR CHEEZ KA KHAALIQ AUR APNI MAKHLOOQ KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,

WAHI IS BAAT KA HAQDAAR HAI KI USKI IBADAT KI JAAYE AUR USME KISI KO SHAREEK NA KIYA JAAYE,

NAMAZ,ROZA,DUA WA MAAFI ,DARR,UMMEED ,SAB USI KA HAQ HAI NA KISI KE LIYE NAMAZ PADHI JAAYE,NA ROZA RAKHA JAAYE, NA KISI TAREEQE SE KISI KA DARR RAKHA JAAYE(ALLAH KE ELAWA), NA DUSRE SE UMMEED RAKHI JAAYE,! USI KE SAAMNE JHUKA(SAJDA) JAAYE AUR ALLAH HI SE MADAD(DUA) MAANGI JAAYE , ALLAH KE ELAWA KOI AISI ZAAT NAHI KI JISKE SAAMNE JHUKA AUR BANDAGI KI JAAYE, ALLAH HAR TARAH KI KHOOBIYON KA MAALIK HAI

IS TARAH SE ALLAH KE MAANNE ME TAWHEED KI TEENON QISMEIN AA JAATI HAIN
1-TAWHEED-E-RUBUWIYYA
2-TAWHEED-E-ULUHIYYA
3-TAWHEED-UL-WAHYAT

TAWHEED-E-RUBUWIYYA:

ISKA MATLAB, IS AQIDE PAR YAKEEN RAKHNA HAI KI ALLAH TAALA HI HAR CHEEZ KA MAALIK HAI, USKE SIWA KOI MAALIK NAHI,

RAB KA MATLAB HAI: MAALIK, WAH APNI MAKHLOOK KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,
ISKA MATLAB HOGA UNHE(MAKHLOOQ) PAIDA KARNE WAALA BHI WAHI AKELA HAI AUR MAALIK BHI WAHI HAI AUR UNKE TAMAM KAMON KI TADBEER BHI SIRF AUR SIRF ALLAH HI KE HAATHON ME HAI,

TAWHEED E RUBUWIYYA KA MATLAB HOGA KI YAH IQRAAR KIYA JAAYE KI WAHI MAKHLOOK KA KHAALIK WA MAALIK HAI, WAHI USKO PAIDA KARNE WAALA AUR JILAANE WAALA HAI, AUR MUSIBAT KE WAQT WAHI DUAON KA SUNNE WAALA AUR MADAD KARNE WAALA HAI, WAHI DENE AUR ROKHNE WAALA HAI, SAARI QAAYNAAT USKI MAKHLOOQ HAI, AUR USI KA HUKM USME CHALTA HAI,

"KHABARDAAR! PAIDAISH BHI USI KA KAAM HAI AUR HUKM BHI USI KA CHALTA HAI, BADA BARKAT WAALA HAI WAH ALLAH, JO MAALIK HAI POORE SANSAAR KA "
(AL-ARAAF 154)

QUR'AN ME TAMAAM BAATON KO BADI SAFAAI SE BAYAAN KI GAYA HAI, KYONKI YAH TAWHEED-E-RUBUWIYYA HI TAWHEED KI DUSRI QISMON KE LIYE BHI BUNIYAAD WA AADHAR(BASE) HAI,

JAB YE SACH(TRUE)HAI KI ALLAH HI QAAYNAAT KA KHAALIK WAMAALIK HAI AUR QAAYNAAT KA POORA DAROMADAAR BHI USI KE HAATH ME HAI TO IS BAAT KA HAQDAAR BHI WAHI HAI, DARNEAUR KAANPNE KA IZHAAR BHI USI KE SAAMNE KIYA JAANA CHAHIYE,
WAHI SAARI TAREEFEIN WA SHUKR KA HAQDAAR HAI AURDUA WA MAAFI KE LAYAK HAI, ISLIYE KI YE SAB BAATEIN USI KE LIYE HI SAHI HAIN,JO HAR CHEEZ KA MAALIK HAI

IN KHOOBIYON SE MAHROOM MAALIK(GHAIRULLAH) APNE BANDON KA ILM NAHI RAKH SAKTA AUR JO BANDON SE BAKHABAR NA HO, WAH UNKI HIFAAZAT KA KAAM KAISE ANJAAM DE SAKTA HAI?

AUR JO APNI MAKHLOOQ KI HIFAAZAT NA KAR SAKTA HO, WAH PAALNE WAALA KAISE HO SAKTA HAI?

JO LOG IS BAAT KA IQRAR KAREN KI KAAYNAAT KA KHALIQ AUR MAALIK ALLAH HI HAI(MATLAB TAWHEED E RUBUWIYYA KO TO MAANE) LEKIN IBADAT ME WO ALLAH KE SAATH KISI DUSRE KO SHARIK KARE(MATLAB TAWHEED EULUHIYYA KO TASLEEM NA KARE) ISI TARAH ALLAH KI KHOOBIYON KA INKAAR KARE,
YA BANDON KI KHOOBIYON KE SAATH MILA DE YA UNKI BEKAAR,DAEF DALEEL DE(MATLAB TAWHEED NAAB WA KHOOBIYON KA INKAAR KARE)

TO USKA SAAF MATLAB HAI USNE TAWHEED KO NAHI MAANA JO UNHE KUFR SE NIKAAL KAR IMAAN ME LE AAYE,

JABKI KUFFAR E MAKKAH IKRAR KARTE THE KI HAR CHEEZ KA KHALIK ALLAH HAI, ISKE BAWAJOOD ALLAH NE UNHE MUSHRIK KAHA, KYON?

ISLIYE UNHONE MAANA KI RABB EK HI HAI, LEKIN YE NAHI MAANA KI SHAASHAK(RULER) BHI EK HI HAI, AUR IS WAJAH SE UNHONE GHAIRON KO BHI IBADAT ME SHAREEQ KIYA,
ISI TARAH UNHONE NAAMO WA KHOOBIYON ME BHI ALLAH KO EK NAHI MAANA AUR USKI KHOOBIYON KA INKAAR KIYA YA USKI KHOOBIYAN KO LOGON(PEER,BABA) ME TASLEEM KIYA

ALLAH TAALA NE UNKE BAARE ME FARMAYA:"ALLAH KO MANNE WAALE AKSAR MUSHRIQ HAIN"
(YOUSUF 12, 106)

MATLAB UNHONE YE TO MAANA KI UNKA KHALIK, RAAZIQ AUR ZINDGI AUR MAUT DENE WAALA ALLAH HAI, LEKIN IBADAT GAIRON KI BHI KARTE RAHE,

ISLIYE WO APNE ADHURE(HALF) IMAAN KE WAJAH SE IMAAN BILLAH KE BAWAJOOD MUSHRIQ HI RAHE,

ISSE MALUM HUA KI MUSALMAAN HONE KI LIYE ZAROORI HAI KI TAWHEED-E-RUBUWIYYA KE SAATH TAWHEED-E-ULUHIYYA AUR TAWHEED ASMA WA SIFAAT PAR BHI IMAAN RAKHA JAAYE,

ISKE BEGAIR KOI BHI MOMIN MUSALMAAN NAHI HO SAKTA !!

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed