Pin It

Qur'an ko Samajhna Aasaan Hai....


Couch ModePrint
Image result for islamBismillah Hirrahman Nirraheem

Shah Waliullah Muhaddith Dehelvi Rahmatullahi Alaih Ne Likha Hai,
Quran Majeed ko Samajhne k 2 Level Hai.

1. Awamunnas ka Level:
ye itna hai k humare samne koi Quran padh raha ho to hume pata chale k fulan qaum ka tazkira ho raha hai, jannat ka tazkirah, jahannam ka tazkirah wagera..

Ye first level of understandin Aam bande k liye hai aur isko ALLAH ne bahot Aasan kar diya.

2. Ek Hai (High Level) of understanding:
Woh Ulma ka hain k woh ek Ayat ko padhe aur us mese masa'il ko istanbat (extract) kre. Lekin is level tak to har bande ko jane ki zarurat nahi hume to first level of understanding chahiye. Aur ye hasil karna bada aasan hai.

Aaj Quran Pak Computer par aa chuka aur iske alfaz gine ja chuke. Quran Majeed k kul alfaz taqriban 84600 lekin isme zyadah alfaz woh hai jo bar bar Repeat hue hain. Jaise"Aqimus Salah" more than 700 times aaya. Agar Repetition ko hum ek lafz samjhe to pure Quran Majeed me jo mukhtalif alfaz istemal hue hain unki tadad kul 2000 banti hain.

2000 alfaz k istemal se Quran Majeed ALLAH ne Aasan bana diya. 2000 mese jin logo ko urdu zaban bolna ya samajhna aata hain to Quran Majeed k 500 alfaz urdu zaban me istemal hote hain. Jaise insan, haiwan, maut, hayat, jannat, jahannam, arsh, kursi, soum, salat, hajj, taqwa, tawakkul......
Sab urdu me istemal hote hain aur Quran Pak k alfaz hain. To ye 500 alfaz ko nikal de to baqi kitne reh gaye 1500.

Agar hum roz 5 alfaz samjhe to ek saal me aaraam se Quran samajh sakte hain. Farq ye hai k khud samajhna shuru na kare. Khud samjhenge to ulta samajh baithenge.

Kyu k ustad k bager insan jo bhi samajhta hai waha galti kar jata hai is liye medical science me jab callege me padh lete hain to unko practice nahi karne dete hai. Kehte hain maahir Doctor k zere nigrani tum training lo. Taake tum galti na kar sako warna tum bande maro ge.

Jis trah medical science me kisi Doctor k zere nigrani sikhna zaruri hai Quran Majeed ko bhi kisi Aalim ki zere nigrani samajhna zaruri hain.

Aaj Jo Ummat Gumrah horahi hai usme ek tabqa Wo hai jo Quran o hadis ko khud se samajhne ki koshish karti hai Aur dusra tabqa wo hai k JO QURAN O HADIS ko samajhne ki hi koshish nahi karta aur kehta hai k Ye ULAMA ka kaam hai.

Mere bhaiyo kya Rasoolullah s.a.w Ulama ke lye Nabi bana ke bheje gaye kya quran Ulama par Nazil hua? Nahi na.
Khud Quran ka tarjuma padhen.

Quran ka 90% Dawat o Waz o Naseehat aur Ibrat ke waqiat, qaumo ki nafarmani aur un par azaab aur Qayamat Hashar o Nashar ke waqiat hai.

10% Masael honge jin me Ulama e haq ke pass baith kar samajhna.

90% ke upar Quran to Har koi Alhamdu lillah samajh sakta hai kyu k ALLAH NE QURAN KO SAMAJHNE KE LYE ASAN BANAYA HAI.

QURAN HIDAYAT KI KITAB HAI. Aisa hargiz nahi hosakta ke BANDA IKHLAS ke sath Quran samajhne ki Koshish kare aur use samajh na aye. ALLAH NE TO QURAN KO LOGO ke lye Hidayat bana kar nazil farmaya hai.

Haan jo 10% Masael hai usko Ulama ke pass baith kar samajh lena chahye. Allahu Alam.

★ "♥ Qur’an Kalam Ishq Hai

♥ ye Sirf Zuban se ada ho to Aur hai Lekin Jab ye Dil main utar jaye to Jazba o Masti ka wo Nagma hai Jo Sirf Dil ki Taron pr Chadhta hai, ye Jab Dil Bilali R.A main Utra to Jism ko Tamam Takaleef se be Niyaz kar gaya".

"Indeed, We have sent down for you (O mankind) a Book, (the Quran) in which there is Dhikrukum, (your Reminder or an honour for you i.e. honour for the one who follows the teaching of the Quran and acts on its orders). Will you not then understand? (Qur'an 21:10)

♥ ๑۩๑ ♥ Qur'an ki Lazzat ♥ ๑۩๑ ♥

• Quran Allah ka kalam hai.
• Quran ki Tilawat Insan ka sina khol deti hai yani Insan ko khushi, hikmat aur danai ata karti hai.
• Quran ki Aayat karima per Gour o Fikr aur Tadabbur Iman me izafa karta hai.
• Quran ka sikhna aur sikhana Insan ki azmat aur shan me Izafa karta hai.
• Quran ki hidayat dil ki hidayat hai aur ye Zindagi ko munawwar aur Roushan karti hai.
• Quran Allah s.w.t ki Mojizati kitab hai aur ye Bande ki zindagi per asr andaz hoti hai jo us ki Tilawat karta hai.
• Quran amraz ki dawa hai, ye dil k amraz k liye shifa hai, ye rooh ko paak saaf aur mutahhar karta hai, Ye rooh ki taraqqi ko buland darja pr le kar jata hai.
• Quran Insan k darjat buland karta hai aur andhairo ka sathi hai (Qabar k Andhere).
●═════════════════════════ ══◄►══════════════════════ ═════●
"Uthman Radi Allahu Anhu se Riwayat hi ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmya tum main se sabse behtar wo hai jo Quran majeed padhey aur padhaye". [Sahih Bukhari :: Vol 6 :: 5028]

Hazrath Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Allah Subhanahu Qaymat ke din Sahib-e-Quran se farmayega"Padhta ja aur ( Jannat main) Chadhta ja , Thahar Thahar kar padh jaisa ki Duniya main thahar thahar kar padhta tha kyun ki tera Muqam wo hai jaha tu Aakhri aayat padhega ".[Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: 1451]

Hazrath Sa'd ibn AbuWaqqas Radi Allahu Anhu se rivwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Quran ko achchi tarah se nahi padhta wo hum main se nahi. [Sunan Abu Dawud :: Book 8 :: 1456]

Hazrath Sa'd ibn Ubadah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "Jo shaksh Quran padh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah Subhanahu se khali haath hokar milega". [Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: 1461]

Quran Karim Ek Nazar Main

Quran Majid Allah Ki Kitab Hai
Quran Majid Aasmani Kitab Hai
Quran Majid Huzur(S.A.W.) par Nazil Hova
Quran Majid Ka Nuzu Arsa 22 Sal 5 Mah 14 Din Hai
Quran Majid Ke Yaad Karne Wale Ko Hafiz Kehte Hain
Quran Majid Me 30 Pare Hain
Quran Majid Me 114 Surten Hain
Quran Majid Me 86 Surten Makki Hain
Quran Majid Me 28 Surten Madni Hain
Quran Majid Me 7 Manzile Hain
Quran Majid Me Kul 540 Rukuaat hain
Quran Majid Me 6666 Aayten Hain
Quran Majid Me 14 Sajde Tilawat Hain
Quran Majid Me 8 Sakte Hain
Quran Karim Me BISMILLAH HIRRAH MAN NIRRAHIM 114 Martaba Aaya Hai
Quran Majid Ki Surah Tauba Ke Shuru Me BISMILLAH Nahi Hai

Quran Majid Me 53223 Zabar Hain
Quran Majid Me 39582 Zer Hain
Quran Majid Me 8804 Besh Hain
Quran Majid Me 61275 Jazm Hain
Quran Majid Me 1274 Tashdid Hain
Quran Majid Me 1717 Amdad Hain
Quran Majid Me 105684 Nuqte Hain
Quran Majid Me 322600 Huruf Hain
Quran Majid Me 86431 Kalmat Hain
Quran Majid Me 87 Waqf Lazim Hain

Quran Majid Me 29 Surten Huruf Mukattat Se Shuru Hoti Hain
Quran Majid Me Sabse Bada Parah Ruku Aur Surat Ke Aitbar Se 30 Wa Parah Hai
Quran Majid Me Sabse Badi Surat Suratul- Baqrah Hai
Quran Majid Me Sabse Badi Surat Suratul- Baqrah Hai
Quran majid Me Sabse Badi Ruku Parah No 4 Me Ruku No 8 -YA AYYUHAL LAZINA AAMANU LA TAKUNU KALLAZINA KAFARU WA QALU Hai Quran Majid Me Sabse Badi Manzil Aakhri Manzil Hai
Quran Majid Me Sabse Badi Manzil Aakhri Manzil Hai
Quran Majid Me Parah 23 Surah Saffat Ki Dusri Ruku Ba Aitbar Aayat Badi Ruku Hai Jisme 53 Aayten Hain
Quran Majid Me Bada Parah Ba Aitbar Safhat 29 Wan Parah hai
Quran Majid Me Sabse Choti Surat Suratul- Kausar Parah No 30 Me Hai
Quran Majid Me Sabse Choti Ruku parah No 14 me Ruku No 9 hai
Quran Majid Me Sabse Choti Aayat Parah 29 Surah Mudassir No 21 SUMMA NAZAR Hai
Quran Majid Me Sabse Pehle Nazil Hone Wali Aayten Surah- AlaQ Parah 30 Ke Shuru ki 5 Aayten Hain

Quran Majid me Sabse pehle Mukammal Nazil Hone Wali Surat Suratul-Fatiha Hai
Quran Majid Me Sabse Aakhir Me Nazil Hone Wali Surat Suratun-Nasr Parah 30 Hai
Quran Majid Ki Surah-Mujad la Parah 28 Ki Har Aayat Me Lafz Allah- Maujud Hai

BISMILLAH HIRRAH MAN NIRRAHIM Ko Quran Ka Sar Bataya Gaya Hai
Surah-Fatiha Ko Babul Quran Aur Ummulkitab Kaha Gaya Hai
Suratul-Baqrah Ko Quran Ka Arsh Kaha Gaya Hai
Aayatul Kursi Ko Quran Ka Dost Kaha Gaya Hai
Surah-Yusuf Ko Quran Ka taaj Kaha Gaya Hai
Surah- Yaasin Ko Quran Ka Dil Kaha gaya hai
Surah-Rahman Ko Quran ka Taaj Aur Dulhan Kaha Gaya hai.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed