Pin It

Duniya o Aakhirat ke 25 Masa'il ka Hal


Couch ModePrint
Image result for islam********{ Duniya-o-Aaqirat me Nafae k Liye 25 Sunhere Usool }********
Hazrat Khalid bin walid (Radiallahu Anhu)Farmate hai k hum Rasoolallah SallallahuAlaihi Wasallam ki Khidmat me Hazir the,Aik shaksh Hazir hua, Arz kiya Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam! Mai kuch Baten poochne k liye hazir hua hun, Jo duniya-o-Aaqirat me Nafa den, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Chaho Poocho.

1. us ne kaha: Mai Sub se bada Aalim banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Taqwa Iqtiyaar karo, Sub se bade Aalim ban jao ge.

2. us ne kaha: Mai Sub se bada Gani banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Qina’at Iqtiyaarkaro, sub se bade Gani ban jao ge.

3. us ne kaha: Mai sub se bada Aadil banna chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Tujhe Apne liyePasnd hai wahi logon k liye pasnd kr, subse bade Aadil ban jao ge.

4. us ne kaha: Mai sub se accha Aadmi banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Logon ko Nafa Pohchaya Karo, Sub se Acche Aadmi ban jao ge.

5. us ne kaha: Mai logon me sub se ZyadaAllah ka khaas banda banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ka zikr Kasrat se kiya karo, Khaas Aadmi banjao ge.

6. us ne kaha: Mera Iman kamil ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aqlaq acche karlo, Tumhara Iman Kamil Hojayega.

7. us ne kaha: Mai Muhsineen me se hona chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Ibadat Aise karo jaise k us ko daikh rahe ho, Is liye k Agar che tum use Nahi daikh rahe ho to Wo Tumhen daikh raha Hai.

8. us ne kaha: Mai Chahta hu k Allah k Farmanbardaro me Hojaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Farayez ko ada Karo, Farmanbardaron me se Hojaoge.

9. us ne kaha: Mai Allah Tala se Gunahon se paak milna Chahta hun? Aap SallallahuAlaihi Wasallam ne Farmaya: Janabat se Faouran Gusul kiya karo, Allah paak se Gunahon se Paak miloge.

10. us ne kaha: Mai Chahta hu k Qayamat k din Noor se Uthun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Oopher aur kisi per bhi Zulm na Kar, Qayamat k din Noor se oothoge.

11. us ne kaha: Allah mere oopher Qayamat k din Rahem Kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne oopher bhi Rahem kar Aur Allah k Bando per bhi Rahem ker, Allah tere Oopher Qayamat k din Rahem karega.

12. us ne kaha: Mere Gunah kam ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Astagfaar ki Kasrat kar, Allah tere Gunah kam kardega.

13. us ne kaha: Mai logo me Sub se zyadaIzzat wala Banu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Makhlooq me se kisi ko Apni Hajat na bata, Sub se Zyada izzat wala ban Jayega.

14. us ne kaha: Mai sub se Taqatwar ban jaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah per Tawakkal iqkhtiyar karo, sub se zyada Taqatwar banjao ge.

15. us ne kaha: Mera Rizq kushada ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Ba wazu Raha karo, Tumhara Rizq kushada hojayega.

16. us ne kaha: Mai Allah Aur us k Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam kaMahboob Banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Allah Aur us k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ko Pasnd Hai tu bhi use Pasnd kar, Allah aur us k Rasool Sallallahu AlaihiWasallam ka Mahboob Ban jayega.

17. us ne kaha: Mai Qayamat k din Allah Tala k Gusse se bachna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Makhlooq per Gussa karna Chorde, Tujhe Apne Gusse se Bacha lega.

18. us ne kaha: Meri Duaye Qabool ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Haram khana Chorde, Teri Duaye Qabool hongi.

19. us ne kaha: Allah Tala Qayamat k din Zillat se Bachale? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aap ko zina se Bachale, Allah Tala tujhe Zillaton se Bachalega.

20. us ne kaha: Qayamat k din Allah Tala Mere Uyoob ko Chupade? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Bhayyon k uyoob ko Chupale, Allah Tala tere Uyoob ko Chupa lega.

21. us ne kaha: Gunahon se kya cheez Najat deti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Aansu, Tawaz’eh, Aur Imraz.

22. us ne kaha: Sub se Azeem Naiki kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Acche Akhlaq, Tawaz’eh, Aur Musibat per Sabr.

23. us ne kaha: Sub se badi Burai kya hai?Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Bad Akhlaqi, Aur bukhl.

24. us ne kaha: Allah k Gusse ko Duniya-o-Aaqirat me Kya cheez Thanda Karti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Chupke Chupke Sadqa karna aur Sila Rahmi karna.

25. us ne kaha: Jahannam ki Aag ko Qayamat k din kya cheez bujhayegi? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Duniya me Dukho aur Musibaton per Sabrkarna.

(Bahawala-Musnade Ahmed).

SHAUHAR(HUSBAND) AUR BIWI(WIFE) KE HUQOOQ

Bismillahirrahmanirraheem

SHAWHAR KE HUQOOQ
1- allah ki nafarmani ke elawa aurat mard ki har baat me uski farmabardari kare allah ka irshaad hai:
fa-inna a-ta-nakum fa-la tab-ghu alai-hinna sabeela
trans: "agar wah tumhara kaha maan le toh phir un par koi raasta na talaash karo"

rasoollullah(sws) ka farmaan hai:
" jab mard apni aurat ko apne bistar parbulaaye aur wah na jaaye aur wah naraaz raat guzaar de to farishte us aurat par subah tak laanat karte rahte hain"
(bukhari wa muslim)

Aur farmaya
" agar main kisi ko huqm karta ki wah kisi ko sajda kare to aurat ko hukm karta ki apne mard ko sajda kare"
(abu dawood, haakim, sahih tirmizi)

2- shauhar ke maal wa daulat, izzat wa aabru aur ghar ke saare maamle me uski hifazat karda bane
aur rasoollullah (sws) ne farmaya hai
" aurat apne shauhar ke ghar aur uski awlaad ki rakhwali hai"
(bukhari wa muslim)

3- shawhar ke ghar me rahe, uski izazatwa marzi Ke bina baahar na nikle, apni nazar neechi rakhe , unchi aawaz se baat na kare, buraayi se apne haath roke aur zabaan ko gandi baaton se bachaaye, rishte daaron ke saath ehsaan me wahi mamla rakhe jo uska shauhar ikhteyaar kiye hue hai, isliye ki jo aurat mard ke maa baap aur qarabat daaron ke saath acchi nahi hai wah shauhar ke liye acchi kahan hui??

Allah ka irshaad hai:
wa-qarna fi-buyu-tikunna wa-la tabar-rajna tabar-ruja al-jahiliyati al-oola
"aur apne gharon me thahri raho aur jahiliyat ki tarah baanao singaar na karna"

aur farmaya
fa-la takh-zaa-na bi-al-qauli fayat-ma-aa al-lazi fi-qal-bihi mara-zun
" aur baton me narmi na karna jiske dil me bimari hai wah lalak karega"
aur farmaya
"aur momina aurton se kahiye ki apni aankhe jhuka kar rakhen aur apni sharmgaahon ki hifazat karen aur apni singaar ka dikhaawa na karen, ya yah ki jo khud se zaahir ho jaaye"

aur rasoollullah ne Farmaya
" acchi auraton me wah aurat hai jab usko dekhe to tujhe khush kare, use hukam kare to poora kare aur jab usse ghayab ho to apne nafs aur tere maal ki hifazat kare"
(tabrani wa sanad sahih)

aur farmaya
" allah ki bandiyon ko masjid se na roko agar kisi ki aurat usse masjid jaane ki izaazat talab kare to mana na kare"
(muslim wa ahmad)

" aurton ko raat ke waqt masjidon me jaane ki izazat de do"
(muslim, abu dawood, ahmad, tirmizi)

2- BIWI(WIFE) KE HUQOOQ
1- Bhale tareeqe ke saath aurat se nibaah kare jaisa ki allah ne huqm diya wa-aa-siru-hunna bil-maaroof
" aur un(aurton) ke saath dastoor ke mutabik nibaah kiya karo"
yani jab khana khaaye use khilaaye, kapda pahne to use pahnaaye, uski nafarmani ka khatra mahsoos kare to allah ke huqm ke mutabik samjhaaye, agar kaha maan le to theek hai warna bistar ki judaai akhtiyaar kare, agar is chot se theek ho jaaye to theek warna Mamooli chot aur chetawni(warning) deaur uska khoon na bahaaye aur na maar kutaayi karke use zakhmi kare aur nahi uske jism ka koi hissa tode rasoollullah(sws) ne ek shakhs ne poocha biwi ke shauhar par kya huqooq hain? Aap ne farmaya:
" jab khana khaaye to use khila, libaas pahne use pahna, uske muh par na maaraur bura na kah aur baatcheet tark kare to shirf ghar ki hadd tak"
(abu dawood)

2- biwi ko zaroori deen ke ahkaam sikaayen agar wah nahi jaanti ya use izazat de ki wah majalis ilm me shareekho aur ilm haasil kare isliye ki aurat ko apne deen aur ruh ki islaah ki usse zyada zaroorat hai jitni use khaane aur peene ki zaroorat hai, allah farmata hai ya-ai-yuhal-lazeena aa-manu quwa-anfusakum wa-ah-liyakum naaran
"aiy emaan walon! Apne aapko aur ghar walon ko aag se bachaao"
aur isliye bhi ki rasoollullah (sws) ne farmaya:
"suno! Aurton ke baare me acchi nasihat kubool karo wah Tumhare paas paband ho chuki hain"
(bukhari, wa muslim)

allah ka irshaad hai
al-rijaalu qawa-moona ala an-nisa
" mard aurton par zimme daar hai"
aur rasoollullah ne farmaya:
" mard apne ghar par jimmedar hain aurunki jimmedari ke baare me unse poocha jaayega"
(bukhari, muslim)

agar do ya do se zyada biwiyan hain to unke beech insaaf kare..

Allah ka irshad hai
fa-inna khifa-tum al-la ta-dilu fa-wa-hida tan aw-wama malakat ay-ma-nukum
" agar tumhe khatra hai ki insaaf na kar sakoge to ek hi se nikaah karo ya jo tumhari milkiyat me hai"

apni biwi ka koi raaz na khole aur na hi uske aib ko khole isliye ki wah uska ameen hai aur uski hifazat aur bachaao ka use huqm diya gaya hai
nabi e paak ka farmaan hai:
" allah ke nazdeek us insaan ka maqaamqiyamat ke din badtareen hoga jo apni biwi ki raaz ki baatein dusro se karta raha hai" (muslim)

-------- { Behtareen Biwi Koun…………? }---------

• Jo apne shohar ki farmanbardari aur khidmatguzari ko apna farz mansabi samjhe.

• Jo apne shohar k tamam huqooq ada karne me ko tahi na karen.

• Jo apne shohar ki khubiyon per nazar rakhe aur us k uyoob aur khamiyon ko nazar andaz karti rahe.

• Jo khud takleef utha kar apne shohar ko aaram pohchane ki hamesha koshish karti rahe.

• Jo apne shohar se us ki aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye us per sabr o shukr k sath zindagi basar kare.

• Jo apne shohar k siwa kisi ajnabi mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne oopher padhne de.

• Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat o namoos ki hifazat kare.

• Jo shohar k maal aur makan o saman aur khud apni zaat ko shohar ki amant samajh kr har cheez ki hifazat o nigehbani karti rahe.

• Jo apne shohar ki musibat me apni jani o mali qurbani k sath wafadari ka saboot de.

• Jo mazhab ki pabnd aur deendar ho huqooq Allah o huqooq ul ibad ko ada karti ho.

• Jo padosiyon aur milne julne wali aourton yani saas nanand sasurali rishtedar k sath khush akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.

• Jo maika o sasural dono gharon me har dil azeez aur ba izzat ho.

-------{ Behtareen Shohar Koun..........? }------

• Jo apni biwi k sath narmi, khush khalqi aur husne sulook k sath paish aaye.

• Jo apni biwi k huqooq ada karne me kisi qismki gaflat aur kotahi na kare.

• Jo apni biwi ka is tarah ho kar rahen k kisi ajnabi aourat per nigah na dale.

• Jo apni biwi ko apne aish o ishrat me bara brsamjhe.

• Jo apni biwi per kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare.

• Jo apni biwi ki tand mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.

• Jo apni biwi ki khubiyo per nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.

• Jo apni biwi ki musibaton bimariyon aur ranj o gam me dil joi timardari aur wafadari ka saboot de.

• Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat o aabru ki hifazat kare.

• Jo apni biwi ko zillat o ruswai se bachaye rakhe.

• Jo apni biwi ko deendari ki takeed karta raheaur shari’at ki raah per chalaye.

• Jo apni biwi k akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare.

• Jo apni biwi per is tarah control rakhe k wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.

AZEEM MAA KI TARBIYAT LOGOON KI TAQDIRAIN BADAL DETI HAY

◆ Sodagaroon ka 1 Qafla'h bagdaad ki taraf jaraha tha . In kay sath 1 No'umar larka bhi tha . Jis ko is ki Maa nay kuch hidayat day kar isQafla'yh kay sath is liye kardiya tha k Hifazat kay sath ye apni Manzil per pohonch jaye or Deen ka ILM haasil karkay Allah k bandoon ko Allah ki Hidaayat or Roshni dikhaye¤

◆ Qafla'h Itminaan say chala jaraha tha k 1 Jaga'h kuch Daakuoon nay is per Hamla kardiya¤

◆ Qafla'yh waloon nay apna Maal o Asbaab bachanay kay liye bardhi Chalain chali k kisi tarah in Dakuoon say apna kuch Maal bachalainlekin Dako na in ki Chaloon may aaye or na hi in ki Reham ki Apeeloon say in kay Dil paseejay. Qafla'yh kay 1 , 1 Aadmi say Inhoon nay sub kuch Cheen liya¤

◆ Dako jub apna kaam karchukay to in may say 1 nay is No'umar Gareeb or Pareshaan haalbachay say pucha¤

◆ Daaku ◆ Kaho miyaan tumharay paas bhi kuch hay ?¤

◆ No'umar Larka ◆ G haan meray pass 40 Dinar hain¤

◆ Daaku ◆ Tumharay paas 40 Dinar hain!! [Dako ko yaqeen na aaya k is Khasta Haal or Gareeb kay paas bhala 40 Dinar kaha say aaye or ager hotay bhi to ye hamain Q batata ? Dakonay socha or is Ajeeb o Gareeb Larkay ko apnaySardar kay paas lay gaya]¤

◆ Daaku ◆ Sardar!! Is Larkay ko dekhiye , kehta hay k meray paas 40 Dinar hain¤

◆ Sardar ◆ Miyaan Sahab zaday kiya tumharay paas waqayi [40] Dinar hain?¤

◆ No'umar Larka ◆ G haan meray paas 40 Dinar hay¤

◆ Sardar ◆ Bhala tumharay paas Dinar kaha rakhay hain ? Sardar nay Gareeb Larkay ko herat say dekhtay huwe pucha¤

◆ No'umar Larka ◆ G meri kamar say 1 Theli bandhi huwi hay , is may hain¤

◆ Sardar nay Larkay ki kamar say theli kholi , Dinar ginay . Waqayi 40 Dinar thay . Sardar herat say kuch dair is Larkay ko dekhta raha phir bola Sahab zaday!! Tum kaha jarahay hoon¤

◆ No'umar Larka ◆ May DEEN ka ILM haasil karnay kay liye Bagdaad jaraha hoon¤

◆ Sardar ◆ Kiya waha tumhara jaannay wala koi hay?¤

◆ No'umar Larka ◆ G nahi wo 1 Ajnabi shehar hay , Meri Ammi nay mujhay ye 40 Dinardiye thay k may Itminaan kay sath ILM e DEEN haasil karsakoon is Ajnabi shehar may meri Zaroriyaat ka kon khiyaal karay gaa or kiyoon kisi ka Ahsan authaoon¤

◆ Sardar ◆ bardhi Dilchaspi or herat kay sathNo'umar Karkay ki Batain sunraha tha . Is ki Sanjeedgi bardhti jarahi thi . Wo soch raha tha, is No'umar nay ye Raqum Chupayi Q nahi agerye na batata to meray kisi sathi ko Gumaan bhina hota k is Pareshan Haal Muflis Larkay kay paas bhi kuch hosakta hay . Is Larkaz nay ye Q na socha k may 1 Ajnabi maqaam per jaraha hoon , meray Mustaqbil or Taleen ka Daromadaar is Raqam per hay . Aakhir is nay ye Raqum Chupayi Q nahi . Bachay ki Saadgi or Sachayi nay is [SARDAR] kay Zameer ho Jhanjhordhna shuro kiya , or is nay pucha¤

◆ Sahab zaday ◆ Tum nay ye Raqum chupayi Q nahi ? Agar tum na batatay or inkar kardetay to hamain Shuba'h bhi na hota k tumharay paas bhi koi Raqum hosakti hay¤

◆ No'umar Larka ◆ Jub may Ghar say nikal raha tha to meri Maa nay mujhay ye Nasihat kardi thi k beta kuch bhi ho tum jhoot hergiz na bolna . Bhala may Maa kay Hukum ko kesay Taal deta¤

◆ Sardar kay ander ka Insan jaag gaya . Wo sochnay laga ye No'umar larka apni Maa ka aesa Ita'at guzaar hay k wo apna Mustaqbil taba'h hotay huwe dekh raha hay lekin Maa ka hukum Taalnay ko tayyar nahi or may kitnay Arsaay say baraber apnay Parwardigaar kay hukmoon ko Roond raha hoon , is nay Larkay kogalay say lagaya , is kay Dinar is ko Wapis kiye Qafla'yh waloon ka Samaan wapis kiya or Allahkay Huzoor Sijda'h may Girker Girdhgirdhanay laga . Sachay Dil say is nay Touba'h ki or Allah ki Rehmat nay isay apni Aagosh may lay liya , ye DAKO phir apnay waqt ka 1 Zabardast wali bana or Allah kay bandoon ko Lootnay wala , Allah kay bandoon ko DEEN ki Dolat Taqseem karnay wala bangaya¤

◆ Azeem Maa ki tarbiyat nay Sirf No'umar Larkay ko hi Auncha nahi Authaya balkay Dakuoon ki bhi Taqdeer badal di¤

◆ Ye wo Honihaar [No'umar] Larka hay jis ko Saari Islami Duniya

◆ Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani Rehmahullah kay naam say jaanti hay or jis ka Naam aatay hi Dil Aqeedat o Aehtraam say Jhuk jatay hain¤

◆ Ya-Allah !! Jhoot bolnay say hamay bacha or hamay Apnay Hukmoon per Amal karnay kay liye Aap Alahis Salaam kay Mubarak Sunnatoon or Hazraat e Sahaba Kiraam Razi Allahu Aunhum Ajmaeen kay Mubarak Tareeqoon or Buzrugan e Deen kay Naqsh e Qadam per Chalnay ki Toufeeq ata farma . Aameen Summa'h Aameen¤

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed