Pin It

FITNA E DAJJAL PART 1


Couch ModePrint
Image result for FITNA E DAJJALbismillahirrehmanirraheem

Fitna e Dajjal se kya murad(matlab) hai, Arabi zaban mein Dajjal ke mayne hote hai 'Fareb' ke.Kisi shay(element) ki haqiqat me koi aur parda dal dena .Is sey lawz-e-dajjal bana hai yani bhut bada 'dhokebaz',jab yeh kisi insan ke liye istemal hoga tab uske mayne honge'Behrupiye' ke.

Yeh lawaz Quran majeed me kahi nahi aaya.Na fitna e dajjal ka zikr aaya hai.Han hadees mein'Fitna e dajjal' ka zikr bhut bar aaya hai,uskey aane ka,uski qualities ka ,uski halakat ka ,khas toor par Huzur(saws)ki hidayat hai '

Joh insan Surah Kahaf padta rahega woh fitna e dajjal ke asar se mehfooz rahega'.
(Muslim).

Joh insan surah kahaf ki shuruwati ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega
(Dawood).

Joh insan surah kahaf ki akhiri ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega.
(Nasai).

Huzur(saws)ne farmaya ke Surah Kahaf insan ko fitna e dajjal sey mehfooz rakhney mein mufeed hai.
(Muslim,Tirmizi,Dawood,Maza,Nasai,Ahmad)

Quran ki roshni mein hum jab dekhte haitab hume pata chal ta hai sabse bada Dajjal yeh 'duniya' aur 'duinya ki zindagi' hai ,Isliye k is Duniya ne Akherat(Day of Judgement) me parda dal diya hai. Quran bar-bar kehta hai 'Yeh duniya ka saman siway dhokey ke aur kuch nahi'
(Quran).

Jis insan ne apni puri mehnat,strength,duniya mein laga de aur akherat se gafil raha woh samgho is Dajjal ke fitne mein giraftar ho gaya.Aur uskey liye Duniya-Azab-E-Ilahi ka reason ban gayi .Khas tuar par duniya ka 'Glamour' bad ta ja raha hai, Duniya mein jitni material chamak-damak hai,Nazar ko lubhane wali chamak hai yeh chamak jitni badegi Dajjaleyat utni he badti chali jayegi.

Kafir joh haqeqatan kafir hai chaye naam uska muslim ho uski pechan yeh hai uski sari mehnat ,struggle,duniya keliye hai ,duniya ka Aaram,Luxury etc .

Yeh hi wajah hai jab hum surah kahaf par ghor karte hai,Aur hamarey Huzur(saws) ne bhi Surah Kahaf ki shuruwati aur akhiri ayat padne ko kahahai.

'Aur jo cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai.
(Surah 18 Ayat 7,8)

Yani duniya ki sajawat,glamour,Aaj joh west mein apni inteha ko puhunch chuka hai.Aap andaza kijeye waha zindagi kitni dilkash hai,kitni chamak damak hai .Is qadar wah Uuchi-Uuchi Imaretey hai,Aadmi sab bhool jata hai.

Farmaya
'Taki hum aazmaey ke kuan accha amal karta hai,Kiya tum duniya hi ke andar gum ho jate ho,magan ho jate ho Aur hume bhool jate ho? Duniya se mohabbat kartey ho?Bus yeh imtehan kaek 'peroid' hai,Aur is period mein hi Insan ki kamyabi aur na kamyabi hai.Duniya mein rehte hue duniya se dil na lagana ,Duniye se mohabbat na karna .Isey sirf zindagi guzarne ki leye zariya(means) samaghna ,Asal mehboob ,maqsood Allah ho jaye,Akhirat ki zindgi asal maqsood ho,fhir farmaya''Aaj tum is zameen par jo dekh rahe ho kal hum isey chateyal maydan bana dengey jasey koi fasal kat di jaye.
(Surah 18 Ayat 8).

Fhir Allah age farmatey hai 'Aay Nabi (saws) 'In sey kahiye kiya hum tumko bataye ke apney amal ke aithbar se, apni mehnat ke aithbar se,apni koshish ke aithbar se sabs sey zyada dhokey mein kuan hai? Jinki bhag-dor,mehnat,duniya hi ki zindgi mein gum ho kar rah jaye,duniya mein .....? 'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'...

Ye wah log hain,'Jinki puri koshish duniya hi ki zindgi me barbad ho kar rahi ,or wah apney ap ko yahi samjhtey rahey ,ki wah achey kam kar rahe hai.
(Surah 18 Ayat 103,104)

Lekin Insan ye samjh raha ho ke mein bhut kamyabi pa lee,maine fala factory bana li,mera capital pehle se bhut zyada ho gaya? etc

Or insan ye soche k ye sari hamari success hai ,halaki asal aithbar se,akherat k aithbar se 'yeh log woh hai joapni mehnat k aitbar se sabse zyada dhoke me hai?

Quran majeed ke mutabik yeh duniya aur uske glamour 'SAB SE BADA DAJJAL HAI'.Insani zindgi ka asal Dajjal yeh duniya hai .Hamara asal ghar yeh duniya nahi hai .Jab insan is duniya mein hi gum ho jaye aur woh bhool jaye ke 'Hum sab Allah ke hai aur uski taraf wapas palat kar jane waley hai'
(Surah 2 Ayat156)

Jab insan duniya ka ashiq ho jaye tab duniya Dajjal ban jati hai,Huzur(saws)ne farmaya'Duniye kehti hai jismey bogey to akherat me katogey'.Duniya Darul Imtehan hai

Aaeyeh aab Hadees e Rasool(saws) ki taraf aanyeh hadees mein 'Dajjal' ka lafz 'singular noun '(ek wachan)mein bhi aaya hai Aur 'Dajjalon'yani plural noun (bahu wachan) mein aaya hai.Plural noun mein kai hadees hai joh aayi hai,jin mein yeh farmaya gaya hai 'Ke Qiyamat kayam nahi hogi jab tak 30 dajjal payda na ho jaye ,Aur woh sab ke sab yeh kahengey ke hum Allah ke rasool hai ,halaki Allah ka akheri Nabi mein hu aur mere bad koi Nabi nahi ayega.
(Tirmizi)

Huzur ke zamane hee mein hume pata chalta hai ke 4-5 jhutey nabi kharey ho gaye thaey ,Halaki woh jhutey nabi mar deye gaye.Waqt-Waqt mein kai logo ne asa kiya eg Bahaullah(Irani),Gulam ahmed qadeyani etc etc.Is silseley ka akheri jhoota nabi joh akheri hoga woh yahood sey hoga aur maseeh(christ) honey ka dawa karega.Yeh toh thaey woh 30 dajjal .Lekin ek aur hai joh hai Dajjal-Ul -Akbar yani sab sey bada dajjal jo key 'Kanha Dajjal' ke naam se mashoor hai.Yeh woh hoga joh khudai ka dawa karega insan ke paas duniya ki bhut badi takat hogi woh 'natural forces' tak ko apney control mein kar lega woh kahega mugh par imaan lao.Mughey sajda karo insan ki bhut badi tadad usey khuda manegi .

Hadees shareef mein ata hai 'Ke Momin insan jab apney ghar se niklega toh yeh samghey ga mein momin hu lekin jab woh dajjal apney karishmey(chamatkar)dikhlayega toh momin bhi us dajjal ke sath ho jayengey Aur 'kufr' karengey Allah ka.

Ek aur hadees shareef mein aaya hai Allah ke Rasool(saws) ne farmaya hai ke 'Hazrat Adam(as) ki paidaish se lekar Qiyam-E-Qiyamat tak koi fitna itna bada nahi hai jitna us Dajjal-Ul-Akbar ka hoga.
(Muslim).

Ek aur hadees mein Huzur (saws)ne farmaya hai 'Ke koi aasa Nabi nahi guzra hai jisne apni ummat ko us andhey Dajjal sekahabrdar na kiya ho,Tume sun rakho kewoh kana(blind from one eye) hoga,Aur tumhara rab hargiz kana nahi hai.
(Bukhari)

Yani Allah aur Dajjal mein farq sirf ek anakh ke kane hone ka hai,usey Allah itna power dengey ke log usey Allah smaghne langegey.Ek aur hadees mein aya hai ke'Uski dono aankho ke beech mein likha hua hoga Kaaf-Faa-Raa.
(Bukhari&Muslim).

Ek aur hadees mein aya hai ke yeh alfaz uskey mathey(forehead) par likhey hue hongey usey har momin pad lega ,chaye woh pada likha hoga ya nahi ,Iska matlab kuch nishaniya aeysee hongi uskey sath ke jisey uski peshani mein alfaz padney ke liye pada likha hona zaruri nahi hai.Usko natural forces meinitna kabza ho jayega..Ke Hadees mein aata hai''Woh puri duniya mein fhir jayega aur koi ek dariya bhi nahi chorega sirf 40 din ke andar-andar.(Dajjal ke liye fasla bemani ho kar rahjayega uski raftar itni tez hogi jasey koi tufaan badal ko liye jaa raha ho aur zameen ki koi basti nahi bachegi jismey woh 40 din ke andar fhir na jaye.

Hazrat Ali(raz) ki riwayat mein aya hai ke 30-30 hath lambey uskey kan hongey fhir yeh ki uski raftar itni tez hogi ek kadam Mecca mein hoga toh dusra Syria mein hoga). Aur uskey gadhey(sawari) ke kano ke darmiyan fasla 80 hath ka hoga.Teesri baat yeh ke uska joh gadha hoga uski ek taap aur dusri taap ke darmiyan fasla hoga jitna ke insan ek din aur ek raat mein tay karta hai.
(Muslim)

Ek aur hadees mein aya hai 'Ke woh pukarega(baat karega,address karega)asee awaaz sey jisey sunegey tamam mashriq(east) aur magrib(west)lke log.
(Ahmed)

Ek aur hadees mein aya hai ke zameen ke sarey dariya (nadi,naley)yeh sab uskey hukum ke tabey kar diye jayegey,Aur joh kuch uskey pani se ugta hoga woh bhi uskey kabzaey-kudrat mein hoga ,woh hukum dega asman ko toh woh barish barsaega Aur zameen kohukum dega toh woh apney andar sey fasal nikalege aur jab woh aasey veeran jagah se guzrega toh usey hukum dega aapney khazaney nikalo,Toh zameen apney khazaney nikal kar Dajjal ke sath chal padegi .Uski ek alamat yeh bhi bataegayi hai ke uskey andar Ilaj karney ka aur bimariyo ko shiwa dene ka bhut badi malka paida hojayega,Yani paidashi Andho ko roshni aata karega aur joh kori(leprosy)hai unhey achha karega,murdoy ko zinda karga. (Ilaj ke joh alfaz Quran majeed mein Hazrat Isa(as) ke liye aaye hai same wasey hee alfaz dajjal ke liye aaye hai jasey Quran mein Isa(as) kehtey hai 'Mai paidaishi andho ko accha karta hu ,aur koriyo ko sirf hath fher kar achha kar deta hu aur murdoy ko zinda kar deta hu.Yahi kudrat dajjal ko bhi hasil hogi.)

Yaha tak farmaya ek aadmi ko woh aarey se cheer kar 2 hissoy mein alag-alag kardega aur donohissoy ke beech mein chalega jissey pata chal jayega ke is mein gap paida ho chuka hai,fhir un dono ko jod kar ek zinda insan bana dega .

Dajjal ka ek aur karishma yeh hoga ke uskey sath asey shayateen jin hongey ke jinki surtaein hongi un logo jasi jo mar chukey hai(kisi insan ke baap,bhai maa etc) Woh log jinhe ek insan pechanta ho.Aur un mein se ek shaks aayega apney baap ke paas aur kahega kiya mein tumahra baap nahi hu ,kya mein tumahra bhai nahi hu,kya tum mughe nahi pechantey .Is ka nateja yeh hog ke kufr bhut badey paimaney mein faal jayega.Majority us paar imaan layegi ,usey khuda manegi,usey sajda karegi ,uski parshtish karegi.

Ek aur hadees mein aaya hai ke dajjal jab niklega uskey sath pani bhi hoga aag bhi hogi ,woh cheez jisey log pani deykah rahe hongey woh aag hogi joh bhasam kar ke rakh degi aur jisko log samgheygey aag hai woh paani hogi woh dhanda mein hoga meeta bhi hoga toh huzur(saws)ne farmaya tum mein sey joh bhi usey paye 'toh us cheez ko ikhteyar karey jisko woh dekh raha hai ke woh aag nazar aa rahi hai isleye ke woh paani hoga.
(Bukhari&Muslim).

Aab hum zara in hadees'o ka analysis kartey hai 'Jaha tak shaks Dajjal hai woh abhi nahi aaya ,Lekin kyo ke khabarde hai Hazrat Muhammed(saws) ne ke asa ho kar rahega ,Yeh tha ek individual(Dajjal) ke barey mein hai,Aur jaha tak sawal hai Fitna e Dajjal uskey asrat hamarey samaney hai .

Aap dekhe ke duniya mein science aur technology kis inteha ko pucah gayi hai.Insan ke kadam chand par par chukey hai .Fasley khtam ho gaye hai.Agar aaj 'Obama' speech karey toh puri duniya usey ek sath dekh sakti hai sun sakti hai.Isetarah joh Information technology hai uskey kitney karnamey hai .Hawai-Jahaz asal joh kaha gaya hai'Dajjal' ka gadha Woh aaj ka Hawai-Jahaz hai.Aaj se 1440 sal pehle in sab scientific discovery ke barein mein bataya jata toh in alwaz ke siwa aur koisurat nahi thi inhe bayan karne ki. Huzur(saws) agar us waqt Hawai-Jahaz ka taskira(explain) kartey toh log ko kase samagh aata,us waqt insan gadhey ki sawari karta tha aur aaj 'hawai-jahaz ' insan ki sawari hai.Uska joh gadha hai woh hamara Hawai-Jahaz hai aur joh hawai jahaz ke radar hotey hai yeh bilkulunke wings ke end mein hotey hai,yahi unke kan hai jis sey unhe maloomat hasil hoti hai ,Unki lamabai chorai kitni hai .Hawai jahaz ki Raftar kitni tez hoti hai.

Aur aaj hume pata hai ke 'Din-Raat' ka joh safar hai usesey hum puri duniya cover kar saktey hai.Aaj deserts jaha kahi kuch paida nahi hota tha Aaj yeh haal hai ke Saudi Arabia khud wheat,rice export karne laga hai.Ise tareeke se 'Clonning' ka mamla hai ,Human clonning ki Ijazzat abhi nahi hui hai ,Kisi murdey shaks jism sey ek cell nikallegey usey treat karengey aur ek insan banadengey.Jasey Dajjal ki hukumat puri duniya mein kayam ho jayegi .

Aaj humey pata hai puri duniya 'Unipolar' ho chuki hai America jo hai,jis tareekey se woh puri duniya ko control karna cha raha hai.New World Order(N.W.O) ke tehat jaisey 'Golbalisation' ho raha hai,World bank ,IMF puri duniya ka finance control kar rahi hai .WTO ka agrements 'Trips' se ho chuka hai.

Genetical engeneering sey naya beech(seeds) paida kiya hai ,Ek chawal ki paidawar hoti hai usey pehley bhut kam chawal milta tha.Aab bhut zyada ho raha kyo ke unhoney beech(seeds) keandar 'genetical engeneering'ki hai ke woh zyada padawar de rahe hai ,Yeh johzyada paidawar ho rahi humne iskey leye joh kosish ki hai ,Research ki,Science develop ki hai lehaza us ka fayeda hume puchna chayeyeh Ayenda beech hum se logey ,Aur beech bhi woh dengey jis sey el fasal toh hasil ki ja sakegi lekin fasal ko beech ki shakal mein istemal nahi kiya jaa sakega.Jasey ke humey maloom hai joh andey(eggs) aaj kal bazar mein biktey hai usey hum choozey nhai nikal saktey Duniya ka galamour asa bada ke insan duniya ka gulam ban kar rah jayega.'Dajjal' fitna ka preface aa gaya hai kisi bhi din

jasey Huzur(saws) ne farmaya hai ke koi Asa shaks khara ho jayega Aur woh khudai ka dawa karega aur asey asey karishmey dekhaega ke log usey khuda manegey.Joh cheezey kabhi 'Rasool'o' ke mojzey se hoti thi,Woh insan kudrat('Forces of nature,Univeral forces') par kabu paa kar khud karne lagega.Ek Aur Alamat yeh batai gayi hai ke'Us Fitney ke dono Aankho ke beech mein likha hua hoga KAAF-FAA-RAA.Yeh alamat(symbol) hai ismajuda tehzeeb ki ,Matrialism ki,Allah ke inkar ki,Akherat ke inkar ki ,Rooh ke inkar ki. Ek aur hadees mein yeh aya hai ke 'Khuda ki kasam jab waqt ayega ek shaks hazir hoga Dajjal ke paas aur wohshaks apney aap ko momin samghta hoga lekin joh shubhat(shak) is fitney kiwajah se paida ho jayengey ke woh bhi usiki parwi karengey..

Aaj aap khud dekhlejeye kitno ko imaan ki hasiyat hasil hai ,hamari values kiya hai ,wohi material culture hamara bhi hai ,hum samjhtey zaroor hai apney aap ko musalman ..Lekin?? Upar ek civilization hai Aur uskey mathey par likha hai KAAF-FAA-RAA.(yani kufr).

Ek aur hadees mein aya hai 'Dajjal ke sath kuch shyateen hongey aur woh logo ko dhoka denge yeh kehka ke hum rooh hai tumhare marey hue logo ki wohlogo ko kuch nishaniya bhi batayengi jissey log man langey.Dajjal ke sath shaytano ke lashkar hongey woh shaytan jinn nazar toh nahi aayengey darasal woh jinn uske walid se awaz bana kar batein karengey woh samghegey hamarey walid ki rooh bol rahi hai halaki woh jinn shaytan hoga yeh sarey kam europe ,america mein bhut sare kam asey hotey hai,arwah ko bulana,hadees sey malom hota hai woh arwah nahi hongi woh shaytan e jinn hotey hai joh aakar guftugu karte hai woh is tarah sey guftugu kartey hai ke log samagh batey ke wakai merey baap se guftugu ho rahi hai.

AUR AB HUM DEKHTEY HAI ISKA KHAS TALLUK AURTO SE KIYA HAI...

Hadees mein aya hai 'Ke sabse akheri mein joh dajjal ki taraf ruzu karengi woh aurtein hongi ,Yaha tak ek Banda e Momin bhagega apney ghar ki taraf aur apni maa ko .apni beti ko,apni behan ko,aur apni phupi ko bandey ka rassiyo seykahi yeh dajjal ke peechey na nikal jaye,Ek aur hadees mein ata hai ke sabsey zyada kaseer tadad mein is fitney ki taraf joh badegi woh aurtein hongi,Yaha tak ek banda e momin apneyghar mein wapas jayega apni maa ko apni behan ko apni phupi ko bandhey ka rassiyo se is khuaf se kahi woh nikal kar dajjal ki parwi na karne lage (Musnad Ahmed).

Is fitney ki taraf akheri pesh kadmi ho chuki hai .Joh kuch ho raha hai shariat ka mazak udaya jaa raha hai.Islam ka mazak udaya ja raha hai,Femenism,Liberalism ke naam par 'Aurton ki azadi' ke naam par jo kuch ho raha woh kisi se chupa nahi hai,Bepardagi, Television ,newspaper etc mein hum sab dekh sakte hai.Shareef insan har man chuka hai.

Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahungaaur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhihai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...

And (remember) when We saidto the angels;"Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan). He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord. Will you then takehim (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What anevil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).
(surah 18 ayat 50)

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed