Pin It

DUNIYA, Allah Walon Ki Nazar Mein


Couch ModePrint
Image result for islam• Duniya Na Janne Walo aur Na-daano ki Nazar me sab kuch hai Magar Janne Walo aur Haqiqi ilm rakhne walo ki Nazar me kuch bhi nahi.

Jab ye baat taiy hai ke Duniya Fanah hone wali hai to phir Duniya se Mohabbat rakhne wala Na-daan nahi to phir koun ho sakta hai.

• ALLAH ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ALLAH ki Qasam Duniya ki misaal Aakhirat ke muqable me aysi hi hai Jaise tum mese koi Aadmi apni ungli Samandar me daale aur phir nikaale aur dekhe ke samundar ka paani to nahi aaya sirf ungli tari(bheegi huwi) reh gayi. Duniya ki misaal wo tari hai jo ungli par reh gayi. Aakhirat wo samundar hai jo joun ka toun hai.

• Hazrat Ayesha Siddiqa RaziAllahu Anha Farmati hain ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka guzar Bakri ke Ek Murdah (dead) bachche ke paas se huwa. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Sahaba Kiram RaziAllahu Anhuma se pucha ke

Tum me se koi is bachche ko kharidega to unho ne kaha ke hum to isey kisi bhi chiz ke badle nahi lenge. Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Tumhari Nazar me ye chiz(murdah Bakri) jitni Haqeer hai ALLAH ke Nazdeek Duniya is se bhi ziyada Haqeer hai.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Mujhe apni Ummat ke baare me sab se zyada khouf KHUWAHISH NAFS aur LAMBI UMMIDON ka hai. Khuwahish isey Seedhe Raaste se hataa degi aur Lambi Ummide Aakhirat ko bhula degi.

• ALLAH k Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Tabah wa Barbaad ho Duniya ka Banda. Dirham(Paiso) ka Gulam aur Kapdon ka Pujari. Agar ye chizein isko di jaye to khush aur Raazi, agar Na di jaye to NaRaaz. Duniya jab haath aane wali nahi hai to phir iski Bandagi se kiya haasil. Duniya ki jab har cheez Faani hai to iski Gulami karne ka kiya Fayda. Jab kapde phat jaane wale hain to inki pooja kis kaam ki.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hazrat Abuzar RaziAllahu Anhu se farmaya ke Mujhe is baat ki khushi nahi hogi ke mere paas Uhad(pahaad) ke barabar Sona (Gold) hai aur 3 din baad mere paas kuch na ho aur sab kuch ALLAH ki Raah me kharch kardunga. Phir farmaya: Suno ziyada Maal wale hi Qayamat ke din Faqeer honge. Magar BeDareeg Lutane wale Baadshah magar ayse logo ki ta'adad bahot kam hogi.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Daana(Aqalmand) wo hai jo apne Nafs ka muhasaba kare aur Mout ke baad ki zindagi ke liye amal kare. Na-Daan wo hai jo apne Nafs ko apni khuwahish ka pairo bana de.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Qayamat ke roz Ek Aadmi ko ALLAH ke huzoor laya jayega. ALLAH PAK sawal karega ke Maine tujhe maal ataa kiya tha aur doulat bakhshi thi aur tujh par in'aam kiya tha. Tu ne kiya kya. Wo jawab dega maine maal jama kiya, isey barhaya aur chor aaya. Aap mujhe wapas bhej de tou mai lekar aaunga. Is se kaha jayega ke jo aage bheja wo dikhla. Magar is hisaab me wahan kuch nahi hoga. Kyun ke bheja hi nahi. Tab kaha jayega ke isi liye tujh se kaha jata tha ke AAKHIRAT KO MAT BHOOL. Magar tu ne Hamari baat nahi suni ab iski padaash me tujhe dozakh me daala jata hai.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke duniya me raho goya musafir ho balke raasta uboor(road cross) karne wale ho. Musafir sirf zaruri chizein sath leta hai. Tum bhi duniya me isi tarah raho jaisa ke musafir ajnabi gaaon me rehta hai.

• ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Banda kehta hai mera maal, mera maal. Halan ke iske maal me sirf wohi iska hai jo isne khaa liya, pahen liya aur khatam kar diya. Baaqi doosron ka hai. Jisne diya isne aakhirat me paya. Jisne joud rakha isne sab kuch khou diya.

♥ ๑۩๑ ♥ Accha likhain ta k kal Padhnemain aap ko Accha Lage ♥ ๑۩๑ ♥

⇨ "Allah Tala Farmate Hai: (Qayamat k din Malik Farmayega) Lai! Khud hi apni kitaab aap padh le, Aaj to tu aap hi apna khud hisaab lene ko kafi hai".(Qur’an 17:14)

★ Aaj tum apna namaye Aamal likh raheho aur kal padhoge Jitna ho sake accha likho Roze Mehshar padhte hue tumhain apna likha accha lage.

⇨ "Yaqinan tum par nigehaban izzat wale, likhne wale muqarrar hain (kiraman Katibeen) jo kuch tum karte ho wo jante hain".(Qur’an 82:10 to 12)
Hamara aik aik Aml likhte hai.

★ Allah tala hame roze mehshar ki sharmindagi se bachaye aur hamara Namaye Aamal hamare sidhe hath me diya jaye.
★·.·´¯`·.·★ Aameen ★·.·´¯`·.·★

...............✿....... Aakhirat ka Paper OUT Hai.......✿...............

๑۩๑ Qabar ๑۩๑

Please Prepare the Following three Questions. Section “A”
Q.1 Tumhara RAB koun hai?
Q.2 Tumhara Deen kiya hai?
Q.3 Tumhare Nabi kon hain?

๑۩๑ Hashar ๑۩๑
Please Prepare the Following five Questions. Section “B”
Q.1 Apni UMER kahan Guzari?
Q.2 Jawani kin kamon main kharch huie?
Q.3 Maal kahan say kamaya?
Q.4 Aur kahan kharch kiya?
Q.5 Apnay ILM pe kitna AMAL kiya?

Zindagi amad baraye bandagi,
Zindagi bebandagi sharmindagi.
Zindagi zeez k kaate mai tule ya na tule,
Apna hi chehra apne hathon se dhule ya na dhule,
Ham to is raat ki mehfil ko ganimat samjhen,
Kaun jane kal subah aankh khule ya na khule.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed