Pin It

Gunah Aur Gunaho ke Nuqsanat


Couch ModePrint
Image result for islamJin per Waeed-e Aayi Hai, jo Bagair Toba k Muaaf Nahi Hote Aur aik Gunah bhi Jahannam me le Jane k liye kafi Hai.

1.Hiqarat se kisi pr hnsna.
---------2.Ta’an Karna.
---------3.Bure Laqab se Pukarna.
-------4.Badgumani karna.
---------5.Kisi ka Aib talash karna.
---------6.Kisi ki Gibat karna.
---------7.Bila waje kisi ko bura Bhala khna.
---------8.Chogli khana.
---------9.Tohmat Lagana.
---------10.Dhoke dena.
---------11.Aar dilana.
---------12.Kisi k Nuqsan per Khush hona.
---------13.Takabbur karna.
---------14.Faqr Karna.
---------15.Zarurat mand k bawajood Khudrat k Madat na karna.
---------16.Kisi k maal ka Nuqsan karna.
---------17.Kisi ki Aabru per Sadma Pohchana.
---------18.Choto per rahem na karna.
---------19.Bado ki Izzat na Karna.
---------20.Bhuko aur Nango ki Haisiyat k Mua’fiq madat na karna.
---------21.Kisi Dunyawi ranj se 3 din se zyada bolna Chhordena.
---------22.kisi ki Zameen per Mooursi ka Da’wa karna.
---------23.Kisi Jandar ki Tasweer Banana.
---------24.Hatte katte ko Bheek mangna.
---------25.Dadhi Mundwana ya aik musht se km per Katarwana.
---------26.Kafiro aur Fasiqo ka Libas Pahenna.
---------27.Mardo ko Aourton ka Libas Pahenna.
---------28.Aourton ko Mardon ka Libas Pahenna.
---------29.Bdkari karna.
---------30.Chori karna.
---------31.Daketi Daalna.
---------32.Jhuti Gawahi dena.
---------33.Yateem ka maal khana.
---------34.Be khata jaan ko qatal karna.
---------35.Maa Baap ki Nafarmani karna aur un ko Takleef dena.
---------36.Jhuti Qasam khana.
---------37.Rishwat Dena.
---------38.Rishwat Lena.
---------39.Rishwat k mua’mle me Padhna.
---------40.Sharab Pina.
---------41.Juwa khailna.
---------42.Zulm karna.
---------43.Kisi ki koi cheez Bagair Ijazat lena.
---------44.Sood dena.
---------45.Sood Lena.
---------46.Sood likhna.
---------47.Sood per Gawah Banna.
---------48.Jhoot Bolna.
---------49.Amanat me Khayant karna.
---------50.Wada Khilafi Karna.
---------51.Oopher se Pehne huwe Kapdo se Takhno ko Dhakna.
---------52.Bagair uzre Sharaie Jamat Chhord dena.
---------53.Shar’ie parda na karna.
---------54.Shar’ie Tariqa se tarke ko Taqseem na karna bilkusoos Bahno ko miras me se un ka Hissa na Dena.
---------55.Riya kari karna yani dikhawe k liye koi kaam karna.
---------56.Duniya kamane k liye ilm deen Hasil karna.
---------57.Padosi ko Takleef Pohchana.
---------58.Qat’a Rahmi karna Yani Qareebi Rishtedaron se kisi Dunyawi ranjish ki wajeh se Ta’aluq todna.
---------59.Allah k farayez me se kisi Farz ko Chhordna Masaln Namaz, Roza, Zakat, Haj Farz hone k Bawajood ada na karna.
---------60.Paishab k Chinton se Badan aur Kapde ki Hifazat na Karna.
---------61.Kisi se kina Rakhna yani Bdla lene ka jazba dil me Rakhna.
---------62.Ajab yani apne Aap ko Accha Samajhna.
---------63.Bukhal yani Shariyat ne Jaha Kharch krne ka Hukm diya hai Waha Kharch na Karna.
---------64.Hirs yani maal jama Karne me Haram aur na Jayez Tariqon se na Bachna.
---------65.kisi jaandar ko Aag me Jalana.
---------66.Maal ko Gunah per Kharch karna.
---------67.Mazdoor se kaam le kr us ki mazduri Na dena ya km dena Ya Dair karna.
---------68.Khud kshi karna.
---------69.Jadu tona karna ya karana.
---------70.Shara’an jo kaam krna zaroori hai ba wajood Khudrat k un ka hukm na karna, Isi tarah jo kaam Haram hai Ba wajood khudrat k us se na rokna.
---------71.Allah ki Rahmat se Mayus hona.

Allah Tala Hame Gunaho se Bachne ki Toufeeq Ata Farmaye, Aye Allah hamare Sagira-o-Kabira Gunah jo Ab tk Jaan Kar Kiye Ya Anjane me Bhool se Hogaye ho To Aye Allah Hamare Guanho Ko tu Apne Fazl-o-karam se Muaf Frmaden..Aameen

****{ Gunah Karne se 27 Qisam k Nuqsanat Duniya me Paish Aate Hai } ****

1. Gunah karne se Aadmi Ilm deen se Mahroom ho jata hai.
2. Gunah karne se Rizq me Kami ho Jati hai.
3. Gunah karne se Khuda Tala se Wahshat hoti hai.
4. Gunah karne se Aadmiyon se Bilkhusus Naik logo se Wahshat hone Lagti hai.
5. Gunah karne se Aksar kamo me Dushwari Paish Aati hai.
6. Gunah karne se Qalb me Aik Qisam ki Tariki Mahsoos hoti hai.
7. Gunah karne se Dil aur jism me Kamzori Paida hojati hai.
8. Gunah karne se Aadmi Ta’aat (ibadat) se Mahroom ho jata hai.
9. Gunah karne se Umr Ghat ti hai aur Zindagi ki Barkat Nikal jati hai.
10. Gunah karne se Aik Gunah doosre Gunah ka sabab ban jata hai.
11. Gunah karne se toba ka Irada kamzor hojata hai yaha tk k Toba ki Toufeeq Khatam ho jati hai.
12. Gunah karne se chnd roz me Gunah ki burai dil se Khatam hojati hai.
13. Har Gunah Dushmana ne khuda me se Kisi ki meeras hai, Lehaza ye Shaksh Mal’oon Qoumo ka waris banta hai.
14. Gunah karne se khuda Tala k Nazdeek Zaleel-o-Khwar ho jata hai Aur Makhlooq me bhi izzat nahi Rahti.
15. Gunah ki Nahusat se Doosri Makhlookh ko bhi Zarar Pahonch ta hai is wajeh se digar Makhluqat is per la’nt Karti hai.
16. Gunah karne se Aqal me Futoor aur kami ho jati hai.
17. Gunah karne se Gunahgar Shaksh Huzoor S.A.W ki la’nt me Dakhil ho jata hai Kyu k Aap ne bahot se Gunaho per La’nt Farmai hai. 18. Gunah karne se Aadmi Farishton ki Dua se Mahroom ho jata hai.
19. Gunah karne se Tarah Tarah ki Kharabiya Zameen me paida ho jati hai Pani, Hawa, Galla, Phal naqis Hojata hai.
20. Gunah karne se Haya aur Gairat jati Rahti hai.
21. Gunah karne se Allah Tala ki Azmat dil se Nikal jati hai.
22. Gunah karne se Ne’maten Salb hojati hai Balao aur Musibaton ka Hujoom hota hai.
23. Gunah karne se Tareef aur Izzat k Laqab Chin kar Zillat-o-Ruswai k Khitabaat milte Hai Masaln Fasikh, Fajir, Zalim Wagaira.
24. Gunah karne se Shayateen us per Musallat ho jate hai.
25. Gunah karne se dil ka Itminan Jata Rahta hai.
26. Gunah karne se khuda ki Rahmat se Na Ummidi ho jati hai is Wajeh se toba nahi karta Aur be toba Marta hai.
27. Gunah karte karte Wahi Gunah dil me Bus jata hai Yaha tk k Marte Waqt kalima Tk Muh se Nahi Nikalta.
(Waliyazu Billah)

Allah Hum sub ko Apne Panah me Rakhe.

Gunah ko pehlane ka zariya bhi mat bano….kyun k ho sakta hai k Aap to toba karlo….Par jis ko aap ne Gunah par lagaya hai wo aap ki Aakhirat ki tabahi ka zariya ban jaye.

Are you a Part of GUNAH-E-JARIA?
Song Shared !!! 1Guhan= 1 song Share
Referal/Friends Continued Song= Countless Sharing Gunah !!
(You are not sharing it continuously but your friends are sharing that song to thousands of others)
Think , Why are you starting the Chain??? (Stop- Don’t Share)
PLZ SHARE !!!

------{ Sab se Bada Gunah wo hai jo Karne waleki Nazar me Chota ho }------

• Neki Allah ki taraf se hai, Gunah shaitaan aurnafs ki taraf se hai.
• Neki karna mushkil hai aur Gunah ka karna bahot aasan hai.
• Neki Jannat ki Raah hai, Gunah Jahannam ki Raah hai.
• Neki wo hai jis me Allah ki raza ho, Gunah wo hai jis me shaitan aur nafs ki raza ho.
• Neki wo hai jo sunnat k mutabiq ho, Gunah wo hai jo Sunnat k khilaf ho.
• Neki Dil ko zinda karti hai, Gunah Dil ko murda karta hai.
• Neki Namaz Allah k liye pdhna hai, Gunah Logon k dikhwae k liye padhna hai.
• Neki duniya aur aakhirat me kaam aati hai, Gunah sirf duniya me kaam aata hai.
• Neki kar k gunah karna Insan ka kaam hai, Gunah kar k toba karna Musalman ka kaam hai.

Hazrat Abu hurairah r.a se riwayat hai k Rasulullah s.a.w ne farmaya: Momin banda jab koi gunah karta hai to us k natije me us k dil per aik siya noqta lag jata hai, phir agr us ne us gunah se toba ki aur Allah Tala k huzoor memuaafi aur bakhshish ki ilteja o dua ki to wo siya noqta zayel ho kar qalb (dil) saaf ho jata hai aur agr us ne gunah k baad toba o istegfar k bajaye mazeed gunah kiye aur gunahon ki wadi me qadam badhaye to dil ki wo siyahi aur badh jati hai, yahan tak k qalb pr cha jati hai,

Aap s.a.w ne farmaya k: yahi wo zang aur siyahi hai jis ka Allah Tala ne is aayat me Zikr farmaya: un ki badkariyon ki wajeh se un k dilon per zang aur siyahi aagai hai.{83:14} (musnad ahmad, tirmizi).

Allah Tala ham sab ko Gunaho se bachne ki toufeeq Ata Farmaye, Aye Allah ham ne ab tak jo bhi Gunah jan kar kiye hai ya Anjane me hamse hogaye ho to Aye Allah tu apne Fazl o karamse Muaaf farmade ham Ahed karte hai aye Allah k ham ainda gunah nahi karenge, ham sab ki tu hifazat farma, hame gunaho se bachaye rakhna Hame naiki karne wala bana gunahon se aye allah hame door rakh, Aye Allah ham gunahgar hai khata kar hai teri muaafi k talab gar hai aye Allah ham sab ko tu muaaf karde muaaf karden Aameen.

----------------------{ April Fool Ek Gunaho Ka Zakhira }----------------------
----------------------{ Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah }----------------------


Faisla Aap Khud Karen --{ April fool }-

Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat hoti hai.(Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61)

Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, Iski ibteda k bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

• Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adathai?
• Kya ham pasnd karte hai k koi ham se jhoot bole?
• Kya ham me se koi pasnd karta hai k us ka mazakh udaya jaye?

Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur un ka Mazakh udane ka din hai.

Allah Tala Irshad Farmate hai: “Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai k ye un se behter ho aur naAaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai k ye un se behter hon, aur Aaps me aik doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do,Iman k baad Fusq bura Naam hai, Aur jo toba na karen wahi Zalim log hai.(Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11)

• Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.
• Na jhoot boliye aur na kisi k jhoot me shamil hoyye.
• Apne akhlaq o aamal ki khoobsurti ko duniya k samne layye ta k wo jaan saken k aap kitne shandar deen k numayenda hain.
• Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai.(bukhari).
• Kisi ko Fool banana aik Qabeeh (buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur Aik Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.
• Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Halakat hai us shaksh k liye jo logon ko hansane k liye jhoot bole, us k liye halakat hai, us k liye halakat hai.(abudawood,tirmizi).
• Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai k liye wahi pasnd karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasnd nahi karte to phir kisi doosre k liye kaisekar sakte hai?.
• Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.
• Allah Tala ham sab ki hifazat farmaye Aameen.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed