Pin It

TAQDEER Se related Qur'an Majid ki Aayatein


Couch ModePrint
Image result for islamAL-QUR'AN:-

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
ALLAH ne tumhe bhi Paida kiya aur in Aamaal ko bhi jo tum karte ho.
[As Saaf'fat (37:96)

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Hamare paas har cheez ke khazane bhare pade hain. Magar phir Hum Hikmat se har cheez ko Aik Muayyan Miqdar se utarte rehte hain.
[Al Hijr : 21]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Kya ye log kafiron ke paas izzat talash karte hain to yaad rakhe ke izzat to saari ki saari ALLAH Ta'al ke Qabze me hai.
[ An Nisa : 139]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Aur kitne hi jaanwar ayse hain jo apni ROZI jama karke nahi rakhte. ALLAH Ta'ala inko bhi inke Muqaddar ki Rozi pahonchata hai Aur tumhe bhi, Aur Wahi sab kuch Sunne aur Jaan'ne wala hai.
[ Al Ankaboot : 60]

• ALLAH Ta'ala ne apne Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se irshad farmaya:
Aap yu kahiye ke Aye ALLAH, Aye Tamam Saltanat ke Malik, Aap Mulk ka jitna hissa jisko dena chahe de dete hain Aur jis se chahe cheen lete hain Aur Aap hi jisko chahe izzat ata kare Aur jisko chahe zaleel karde. Har Qism ki bhalayi Aap hi ke ikhtiyar me hai. Beshak Aaq har cheez par puri tarah Qadir hain.
[Al Imran : 26]

• ALLAH Ta'ala ne Apne Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se irshad farmya:
Aap inse farmaiye ke zara ye batao agar tumhari Bad-Amli par ALLAH Ta'ala tumhare sunne aur dekhne ki salahiyat tumse cheen le Aur tumhare Dilo par mohar laga de (ke phir kisi ki baat ko samajh na sako) to kya ALLAH Ta'ala ke siwa koi Zaat is kainaat me hai jo tumko ye cheeze dobara lauta de. Aap dekhiye to Hum kis tarah mukhtalif pehlu'o se nishaniya bayan karte hain phir bhi ye log be rukhi karte hain.
[Al An'aam : 46]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Aur agar ALLAH Ta'ala tumko koi Takleef pahonchaye to Iske siwa isko door karne wala koi nahi hai. Aur agar Wo tumko koi Rahat pahonchana chahe to Iske Fazl ko koi phairne wala nahi Balke Wo Apna Fazl Apne bando mese jisko chahta hai pahonchata hai. Woh badi Maghfirat karne wala aur Nihayat Maherbaan hai.
[Yunus : 107]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Aur Hamara Hukm to bus aik martaba Keh dene se palak jhapakne ki tarah pura ho jata hai.
[Al Qamar : 50]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
Agar tumhe koi Faida pahonche to wo ALLAH ki taraf se hai Aur koi musibat pahonche to wo tumhare apne aamaal ki badolat hai..
[An Nisa : 79]

• ALLAH Ta'ala ka irshad hai:
ALLAH kisi ko iski Taqat se zyada takleef nahi deta. Jo achcha kaam karega, isey iska Ajar milega aur jo bura kaam karega to iska wabaal bhi isi par hai.
[Al Baqarah :286]

• ALLAH Ta'ala ne Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) se irshad farmaya:
Aap keh dijiye ke Hume jo cheez bhi pesh aayegi Wo ALLAH Ta'ala ke Hukm se hi pesh aayegi. Wohi hamara AAQA aur MAULA hai (Lehaza is musibat me bhi hamare liye koi behtari hogi) Aur Musalmano ko chahiye ke sirf ALLAH Ta'ala hi par bharosa kare.
[At Taubah : 51]

TAQDEER Se related Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke irshadaat

AL HADEES:-

• Hazrat Abdullah bin Umru bin A'as RadiAllahu Anhuma farmate hain ke
Maine Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye irshad farmate huwe suna:
ALLAH Ta'ala ne Zameen wa Aasman banane se pachas hazar (50,000) saal pehle tamam Makhluqat ki TAQDEERE Likh di, us waqt ALLAH Ta'ala ka Arsh Paani par tha.
[Muslim : 6748]

• Hazrat Abu Darda'a RadiAllahu Anhu farmate hain ke Maine Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye irshad farmate huwe suna:
ALLAH Ta'ala har bande ki 5 baatein likh kar farigh ho chuke hain.
1) Iski MOUT ka waqt,
2) Iska RIZQ,
3) Iski UMR,
4) Bad-Bakht hai Ya
5) Nek-Bakht.
[Musnad Ahmad : 5/197]

• Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya:
Koi Banda Momin nahi ho sakta jab tak 4 chizon par Imaan Na Le Aaye..
1) Is baat ki gawahi de ke ALLAH Ta'ala ke siwa koi zaat ibadat wa bandagi ke Layeq nahi Aur Mai Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ALLAH Ta'ala ka Rasool hu Inho ne mujhe HAQ de kar bheja hai,
2) Marne par Imaan Laaye,
3) Marne ke baad dobara uthaye jane par Imaan Laaye,
4) TAQDEER par Imaan Laaye.
[Tirmizi : 2145]

• Hazrat Abu Hafsah Rahmatullahi Alaih se riwayat farmate hain ke
Hazrat Ubadah bin Samit RadiAllahu Anhu ne apne bete se kaha:
Mere bete tum ko Haqiqi Imaan ki Lazzat hargiz haasil nahi ho sakti jab tak ke tum iska yaqeen na karlo ke jo kuch tumhe pesh aata hai tum is se kisi tarah choot nahi sakte the Aur jo tumhe pesh nahi aaya wo tum par aa-hi nahi sakta tha. Maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye irshad farmate huwe suna hai ke jo cheez ALLAH Ta'ala ne sabse pehle banayi wo Qalam hai phir isko hukm diya: Likh!
Isne Arz kya:
Parwardigar kiya Likhu?
Irshad huwa Qayamat tak jis cheez ke liye jo kuch Muqaddar ho chuka hai wo sab Likh.

Hazrat Ubadah bin Samit RadiAllahu Anhu ne kaha:
Mere bete! Maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko irshad farmate huwe suna hai ke jo shakhs is yaqeen ke ilawa kisi doosre yaqeen par marega iska mujh se koi ta'aluq nahi.
[Abu Dawood : 4700]

• Hazrat Abu Darda'a RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: har cheez ki Aik haqiqat hoti hai, koi banda is waqt tak Imaan ki haqiqat ko nahi pahonch sakta jab tak iska pukhta yaqeen ye na ho ke jo halaat isko pesh aaye hain wo aane hi the, aur jo halaat ispar nahi aaye wo aa-hi nahi sakte the.
[Musnad Ahmad : 7/404]

FAYEDA:
Insan jin halaat se bhi dochar ho is baat ka yaqeen hona chahiye ke jo kuch bhi pesh aaya wo ALLAH Ta'ala ki taraf se Muqaddar tha. Aur maloom nahi ke isme mere liye kiya khair chupi huwi ho. TAQDEER par yaqeen insan ke Imaan ki hifazat aur Waswaso se itminan ka zariya hai.

• Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya:
Sab kuch TAQDEER me likha ja chuka hai, yahan tak ke (insan ka) Na Samajh Aur Na karah hona, Houshiyar Aur Qabil hona bhi TAQDEER hi se hai.
[Muslim 6751]

• Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: Taqatwar Momin kamzor Momin se behtar aur ALLAH Ta'ala ko zyadah Mahboob hai Aur yu har Momin me bhalai hai.
(yad rakho) jo cheez tumko Nafa de iski Hiras karo
Aur isme ALLAH Ta'ala ki Zaat se madad talab kiya karo Aur Himmat Na haaro
Aur agar tumhe koi Nuqsan pahonch jaye to ye Na kaho
Agar mai aysa kar leta to aysa aur aysa ho jata
Albatta ye kaho ke ALLAH Ta'ala ki TAQDEER yunhi thi
Aur Inho ne jo chaha kiya, kyun ke "AGAR" (ka Lafz) Shaitan ke kaam ka darwazah khol deta hai.
[Muslim : 6774]

FAYEDA:
insan ka yun kehna "Agar mai aysa kar leta to aysa aur aysa ho jata" us waqt mana hai jab ke iska istemal kisi ayse jumle me ho ke TAQDEER koi cheez nahi kyun ke is soorat me Shaitan ko TAQDEER par se Yaqeen hatane ka mouqa mil jata hai.
[Mazahir e Haq]

• HAADSAH kya hai?

"Mout" Aik Haadsah hai. Marhum ke wariseen par alag alag asar hota hai. Aik waris wo hai ke marhum ki mout ka sadmah khud iski mout ke barabar hota hai Aur aik waris wo bhi hai ke iskb Dil dukhi to hota hai Aankho se aansu bhi behte hain Lekin ye baat iske khoon me shamil hoti hai ke Mout kisi bhi waqt kisi bhi"AADMI" ki aa sakti hai, jo ho gayi is par Sabr ke ilawa koi chara nahi. Dono ke dukh me zamin o asman ka farq hai. Halan ke Aik hi Marhum ke liye dono wariseen hain.

Maine is baat ko Taqriban saaf kar diya ke zindagi ke dukh aur aaram ka ta'aluq insan ke JURM aur GUNAH se nahi hai.

Iska matlab nahi ke insan ke jurm aur gunah ki saza nahi hai. Insan ke jurm aur gunah ki saza duniya me bhi taiy hai aur aakhirat me bhi.

"Saza jhelne ka wazeh sabut hai. Yahan Aik baat aur saaf karna zaruri hai ke Ahadees wagera me ye baat hai ke"Jab Zina ki kasrat ho jati hai" ya"Jab Zulm badh jata hai" ya"Jab Sood aam ho jata hai" To Allah Ta'ala Fulan Fulan tarah ke azaab nazil karte hain.wager wagera. Ye Haqiqat hai.

Lekin ye Aik Qudrati Nizam ke tahat hota hai jiske baare me hum Qataiyat ke sath nahi keh sakte ke ye Azaab Fulan Qaum ke Fulan Gunah ka Natija hai. Baat samajhane ke liye aik misal dena zaruri hai.

Masalan Aik shakhs ne Aik Aurat ke sath zabar dasti Zina kiya. Aurat ne dukhi dil se is Zani ko ye BadDua di ke ALLAH chaheg tu kal ka suraj nahi dekh payega" ye aik 18,20 ghante ke andar Mout ki BadDua hai. Aur is BadDua ke mutabiq wazeh taur par wo Train se gir kar ya Truck se kuchal kar mar jata hai tab bhi ye Qataiyat ke sath nahi keh sakte ke iski"MOUT" isi mazluma ki BadDua ka Natija hai. Lekin ye ho sakta hai ke ye Mout iski BadDua ka Natija ho.

Afrad ki yehi misal Aqwam par bhi Lazim aati hai.

Zani ki mout ko mazluma ki BadDua ka Qatayi natija manna Aqlan aur Mushahidatan dono tarah batil hai. Mushahidatan is liye bati hai ke humari aankho ke samne Rooh ko dehla dene wale bahot se waqiat aate rehte hain aur mazlumeen ke Labo par aahein fugahein aur BadDuaein hoti hain Lekin kuch bhi nahi hota.

Aqlan is liye batil hai ke agar aysa hone lage to puri duniya hi chand dino me khatam ho jayegi. Zara sochiye! Jis masoom Ladki ki Ismat Looti gayi is se bada zulm aur dukh kiya hoga? Iski badDua ka takaza to ye hai ke darinda mard doosri sans bhi na lene paye aur fouran iski mout waqey hojaye ya kam se kam ALLAH isko isi waqt hamesha hamesha ke liye"Na Mard"bana de... Lekin aysa nahi hota. 2,4 sou me 1,2 bar hota hai. Iska matlab ye hai ke jo baat 199 baar nahi huwi aur 1 baar ho gayi to aysa"Ittafaq"se huwa. Ya ho sakta hai ke ALLAH Ta'ala waqayi isko fori saza di ta kd dusron ke liye"Ibrat"ban jaye.

200% sahi ye hai ke is tarah ki saza ka koi Nizam nahi hai Lekin kabhi kabhi Allah Ta'ala apne Nizam me tasarruf karte hain ta ke insano ke liye ibrat ho.

Aik bahot hi Qeemti baat likhta hu. Kaash ye baat agar insan ke dimag me aa jaye to kayi Tabaq roshan ho jaye.

ALLAH ne fouri saza ka nizam nahi rakha hai warna duniya bahot jald khatam ho jaye. Isi tarah ALLAH Ta'ala ki Hikmat ka andaza lagaiye ke"Mazlum ki BadDua"ko be asar rakhne ke liye aik ajeeb nizam banaya hai.

Aapne suna hoga ke mazlum ki BadDua aur Allah ke darmiyan koi pardah nahi hota. Ye baat sach hai aur Quran o Hadees se sabit hai. Lekin ye bhi dekhiye ke bade bade mazloom ki BadDua se bhi kuch nahi hota?.......

ALLAH ne mazloom ki BadDua"ko Be Asar rakhne ke liye tarah tarah ke Asbab paida kiye hain. Kiya ispar hairat nahi hoti?.......

ALLAH ka Wa'ada sach hai ke agar mazloom faryad karega to iski faryad radd nahi hogi Lekin iska natija ye hoga ke baari baari tamam log fouri saza ke natije me maare jayenge.

Mazloom wo hai jiski taraf se koi Zalimana ya Gair Mashruana harkat Na sarzad huwi ho, aysa sakhs agar Allah ko Jabbar Qahhar maan kar Dil se dua karde to iski dua khali nahi jayegi. ALLAH ne insano ko aysi Taba'a se nawaza hai ke mazloom se bhi koi na koi harkat zalimana ya gair mashruana sarzad ho hi jati hai aur ye bilkul aysa hi hai jaise Barood Paani me bheeg kar be asar yani mitti jaisa ho jata hai.

Insan koi na koi harkat aysi zarur karta hai jis se mazloom hone ki shart puri nahi hoti. Is tarah iski BadDua be asar ho jati hai. Agar sahi ma'no me"MAZLOOM"ho to iski BadDua zalim ke haq me Qahar e Ilahi ki shakal me namudar hoti hai. Lekin insan aysa Nadaan hai ke wo zarur koi galti karta hai ya ispar hone wala zulm isi ke kisi zulm ka badla hota hai ya wo apni mazlumiyat ka asar Galam Galoch ya kisi aur tarah se zaye kar deta hai. Ir tarah iski"BAD DUA"be asar ho jati hai jiska natija ye hota hai ke zalim fouri saza se bach jata hai.

Agar Qudrat ka ye nizaam na hota to Duniya me ya to"GUNAH"na hota ya Gunah sarzad hote hi"GUNAH GAAR"na hota. Jab ke Nizam e Aalam me aysa nahi hai. Duniya me"GUNAH"bhi jam kar hota hai aur"GUNAH GARO"ko fauran saza bhi nahi milti. Is tarah Duniya tawazun ke sath chal rahi hai.

Kisi ko is baat par zid nahi honi chahiye ke"GUNAH GARO"ko fauran is Gunah ki saza milni chahiye agar aysa hota to Duniya ke bahot se Shehro(Citiez) ko aik hi raat me GurQab hona zaruri tha. DUBAI aik chota sa mulk nahi balke riyasat(state) hai, Waha ki Hotalo me hi nahi balke sadko par bhi BeHayai aam hai. HangKong, ThaiLand, Berut wagera ki baaz Hotalo me jis tarah Zina aur iski numaish aam hai in gunaho ka taqaza to ye hai ke Allah Ta'ala aik hi raat me sabko nest o nabud karde. Duniya me Sood ke Nizam ka markaz Suizerland, America, London wagera hai Lekin wahan Faqr o Faqah ka naam o nishan tak nahi hai.

Ye sara nizam Qudrat ke aik taweel mansube ke tahat chal raha hai. Aur chalane wala ALLAH !
"Jo kuch ho chuka hai" Aur "Jo kuch hone wala hai" sabse Achchi tarah waqif hai. Wo janta hai ke kis waqt kiya karna chahiye, kis waqt kis mulk par Aafat nazil karna hai, kis ko chord dena hai, kis ko pakad lena hai aur kis ko nawaz dena hai.

Agar ALLAH ne Qaumo aur Mulko ki khush-haali ka Daro-Madar Deen-Dari par rakha hota to Be-Deen Mulko ko hum par musallat na karta. Baat talkh hai magar sachchi hai. Aaj 54 Islami Mumalik ke bawajud Musalman ki koi waq'at nahi.

Maad-di taraqqi ke liye maad-de par mehnat karni hogi. Ye Qudrat ka banaya huwa usool hai. Jisko chawal(rice) ugana hai isko khet me nange pao jana hai aur dhaan ke paude lagana hai. Ye kaam Namaz ke baad mahez dua maangne se nahi hoga. MAAD-DI TARAQQI KE LIYE QUDRAT KA BANAYA HUWA USOOL MOMIN AUR KAFIR KE LIYE AIK HI HAI. Aisa nahi hai ke Momin khet boye bagair fasal kaat laye aur Kafir khet bou kar fasal se mehrum reh jaye.

Dushmano ke Mezaail ka muqabla karne ke liye Mezaail banana padega. Ye kaam "MAHEZ DUA'O" se nahi hoga Balke iske liye Duao ki "Bhi" zarurat hai. Isi tarah Mahez Duao se Na Toup(Gun) me keede padte hain aur Na Mezaail Momin ko pehchante hain.

Momin ke liye DEEN, Na Duniya se alag hai aur Na Duniya DEEN se alag hai. Deen aur Duniya dono Taqazein pura kiye bagair koi insan "PAKKA MOMIN" nahi ban sakta.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed