Pin It

TAQDEER KYA HAI?


Couch ModePrint
Image result for islamKai Logo ka sabse bada sawal ye hai ke: "Bar Bar Meri Zindagi me Haadsah, Saaneha, Ghum o Alam ki barsaat, Zillat wa Khuwari kya ye sab mera muqaddar hai.? Ya waqai Amaliyat ke zareiye mujh ko pareshan kiya ja raha hai.

Yun to zamana mere khilaf hai jo chand aik do mukhlis dost hain in tamam logo ka muttafiqa faisla hai ke zarur tumhare oupar kuch karaya gaya hai."

ye sawal mera hi nahi balke Achche khaase Deendar hazaro logon ka ka hai. KAASH mai kam lafzo me sabko samjha sakta ke sari galat fahemiyo ka sar chashma kiya hai?

Musalman, Aqida e Tauheed ka Qaail hai Lekin Afsos! Woh Aqida e Tauheed se Na Waqif hai. Musalman ka"AQIDA E TAUHEED" ye hai ke Achcha Bura sab kuch karne wala sirf" ALLAH" hai.

Ye baat mai apni taraf se nahi keh rah hu Balke, Kalma Imaan e Mufassal, me mojud hai. "Aye ALLAH Mai Achchi Buri TAQDEER par Imaan rakhta hu."

Yani mai maanta hu ke Achchi Buri TAQDEER sirf Teri taraf se hai [Achcha to Achcha hi hai Lekin Bura sirf hamare Aitebar se bura hai Lekin maslihat e Aalam ke Aitebar se wo Bura bhi nahi hai]

Musalman agar Aqida e Tauheed ko samajh le aur samajhne ke baad iska dil is par mutma'in ho jaye to Duniya ki koi musibat imtehaan, bala, iske liye bala nahi rahegi. Kyun ke insan ke jism par hukumat karne wala insan ka Dil hai.

Dil agar sahi hai to sab kuch sahi rahega aur agar Dil kharab hai to pura jisam kharab ho jayega.

Hadees me bahot achchi tarah is baat ko samjha diya gaya hai ke insan ke jisam me aik Loth-da hai wo agar sahi rehta hai to sab sahi rehta hai aur agar wo kharab ho jata hai to sab kharab ho jata hai. Khoob Achchi tarah samajh lo ke ye kaam DIL ka hai.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed