Pin It

POST 3 : TAKDEER PAR IMAAN- PART 1


Couch ModePrint
Image result for islamAur hum taqdeer ke khair wa shar par imaan rakhte hain aur wah kaayenat ke baare mein pehle se Allah ke ilm aur taqaazaaye hikmat ke ayin mutabiq hai, aur maratib taqdeer char hain:
...
...
Pehla martaba: ilm:
...
Humara imaan hai ke Allah har cheez ke baare mein jo ho chuka hai aur jo hoga aur jis tarah hoga sab kuchh apne azli aur abdi ilm ke zariye jaanta hai, uska ilm nauped nahin hai jo be ilmi ke baad haasil ho aur na hi use ilm ke baad nasiyan laahaq hota hai (yaani na us ke ilm ki koi ibtada hai aur na hi inteha)...
...
...
Dusra martaba: kitaabat:
...
Humara imaan hai ke qayamat tak jo kuchh hone waala hai Allah ne loh mehfooz mein likh rakha hai, farmaya:

Kya aapne nahin jaana ke aasmaan wa zameen ki har cheez Allah ke ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitaab mein mehfooz hai. Allah ta'ala par toh yeh amr bilkul aasaan hai. (70)
Surah Al-Haj...

Jise hadees mein is tarah bayan farmaya gaya hai:"Allah ta'ala ne aasmaan wa zameen ki paidayish se 50 hazaar saal pehle, jab ke uska arsh paani par tha, makhluqaat ki taqdeerein likh di thi"(sahih Muslim)...

Aur sunan ki rawaayat mein hai, Rasool Allah sallallah alaihi wa sallam ne farmaya:"Allah ta'ala ne sab se pehle qalam paida farmaya, aur usko kaha"likh"usne kaha, kya likhun? Allah ta'ala ne farmaya, jo kuchh hone waala hai, sab likh de. Chunancha usne Allah ke hukm se qayamat tak jo kuchh hone waala tha, sab likh diya"(abu Dawood, kitaabus Sunnah, baab fi alqadir, tirmizi, musnade Ahmad 317/5)
...
...
Teesra Martaba: moshayyat:
...
Humara imaan hai ke jo aasmaan wa zameen mein hai sab Allah ki moshayyat ka taqaaza hai, koi cheez us ki moshayyat ke baghair nahin hoti, Allah ta'ala jo chahta hai wah ho jaata hai aur jo nahin chahta wah nahin hota...
...
...
Chautha Martaba: Takhleeq:
...
Humara imaan hai ke:

Allah har cheez ka paida karne waala hai aur wahi har cheez ka nigehban hai. (62)

Aasmaano'n aur zameen ki kunjiyo'n ka maalik wahi hai, jin jin logo'n ne Allah ki aayato'n ka inkaar kiya wahi khasara'h paane waale hain. (63)
Surah Al-Zarmar...
...
Aur in maratib taqdeer mein wah sab kuchh shamil hai jo khud zaat baari ta'ala ki taraf se hota hai aur jo bando'n ki taraf se hota hai, so bando'n se jo bhi aqwal wa af'aal saadir hote hain yaa jin kaamo'n ko wah tark kar dete hain wah sab ke sab Allah ke ilm mein us ke paas likhe hue hain, Allah ta'ala ki moshayyat ne unka taqaaza kiya aur Allah ne unhein paida farmaya.

(bilkhasus) Uske liye jo tum mein se sidhi raah par chalna chahe. (28)

Aur tum baghair parwardigar aalam ke chahe kuchh nahin chah sakte. (29)
Surah Al-Takveer...

Yeh Rasool hain jin mein se hum ne ba'az ko ba'az par fazeelat di hai, un mein se ba'az wah hain jin se Allah ta'ala ne baat cheet ki hai aur ba'az ke darje buland kiye hain, aur hum ne Isa bin Mariyam ko mo'ajazat ata farmaye aur Rooh ul quddus se unki taa'eed ki. Agar Allah ta'ala chahta toh unke baad waale apne paas daleelein aa jaane ke baad hargiz aapas mein ladayi bharayi na karte, lekin un logo'n ne ikhtelaf kiya, un mein se ba'az toh momin hue aur ba'az kafir, aur agar Allah ta'ala chahta toh yeh aapas mein na ladte, lekin Allah ta'ala jo chahta hai karta hai. (253)
Surah Al-Baqrah...

Aur usi tarah bahut se mushrakin ke khayal mein unke ma'aboodo'n ne unki aulaad ke qatal karne ko mustahsan bana rakha hai taake wah unko barbaad karein aur taake unke deen ko un par mushtaba kar dein aur agar Allah ko manzoor hota toh yeh aisa kaam na karte toh Aap unko aur jo kuchh yeh galat baatein bana rahe hain yun hi rahne dijiye. (137)
Surah Al-An'aam...

Haala'n ke tumhein aur tumhari banayi hui cheezo'n ko Allah hi ne paida kiya hai. (96)
Surah As'saffat...
...
...
Lekin iske saath-saath humara yeh bhi imaan hai ke Allah ta'ala ne bande ko ekhtiyar aur qudrat se nawaza hai, banda'h jo karta hai us ekhtiyar aur qudrat ki bina par hi karta hai...
Aur kayi amor is baat ki daleel hain ke bande ka fa'al uske ekhtiyar aur qudrat se zahoorpazer hota hai...

Irshad baari ta'ala:

Tumhari biwiya'n tumhari khetiya'n hain, apni khetiyo'n mein jis tarah chaho aao aur apne liye (nek amaal) aage bhejo aur Allah ta'ala se darte raha karo aur jaan rakho ke tum us se milne waale ho aur imaan waalo'n ko khushkhabri suna dijiye. (223)
Surah Al-Baqrah...

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed