Pin It

Masla Ilm E Ghaib


Couch ModePrint
Image result for islamBismillahirrahmanirraheem

" ek raat nabi akram(sws) apne bistar se uthkar baahar chale gaye, hz aisha (ra) bhi unke peeche baahar nikal aayin, aap (sws) ne baqiul gharqad(madine ka qabrastan) pahunchkar duwaye maghfirat ki aur waapas aa gaye, hz aisha ra unse pahle apne bistar par pahunchne me kaamyaab ho gayi lekin saans(breath) chadhi(fooli) hui thi, nabi akram sws ne wajah malum ki, hz aisha ra ne taalna chaaha, aapne farmaya-" aisha ! Bata do warna mera allah mujhe bata dega", is par hz aisha ne saari baat suna di"
(sahih muslim 974)

isse malum huwa ki ghar se nikalte waqt hz aisha ra ko malum na tha ki nabi akram (sws) kidhar aur kyon jaa rahe hain aur nabi(sws) ko bhi malum na huwa ki hz aisha bhi mere peeche thi??

" hz maswar bin yazid ra se riwayat hai ki ek baar nabi sws ne qir'at me qur'an ka kuch hissa chhod diya, ek aadmi ne kaha:- aapne falan ayat chhod di to aapne kaha:-" tune mujhe yaad kyon na dilaaya"
(abu dawood 907)


Assalamu Alaikum wr wb

Rad-E-Barelviyat Aqida Quran Ke Rooshni Main

[Masla Ilm Ghaib]

Kuch Logo Ka Aqida Hai Ke Allah Ke Rasool Nabi Saw Ko Ilm Ghaib Tha Aur Kuch Ka Aqida Hai Ke Nahi

Aaye Hum Dekhte Hain Kya Baqai Main Allah Ke Rasool Nabi Saw Ko Ilm Ghaib Tha Ya Nahi

[Quran Ka Faisla]

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilm Ghaib Nahi Siwaye Jo Allah Taala Batayen

06.50.Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay?

07.188.Aap Farma Dijiye Kay Mein Khud Apni Zaat-E-Khaas Kay Liye Kissi Nafay Ka Ikhtiyar Nahi Rakhta Aur Na Kissi Zarar Ka Magar Utna Hi Jitna Allah Ney Chaha Ho Aur Agar Mein Ghaib Ki Baaten Janta Hota To Mein Boht Say Munafay Hasil Ker Leta Aur Koi Nuksan Mujh Ko Na Phonchta Mein To Mehaz Daraney Wala Aur Bisharat Denay Wala Hun Unn Logon Ko Jo Eman Rakhtay Hain.

11.31.Mein Tum Say Nahi Kehta Kay Meray Pass Allah Kay Khazaney Hain (Suno!) Mein Ghaib Ka Ilm Bhi Nahi Rakhta Na Mein Yeh Kehta Hun Kay Mein Koi Farishta Hun Na Mera Yeh Qol Hai Kay Jin Per Tumhari Nigahen Zillat Say Parr Rahi Hain Unhen Allah Taalaa Koi Nemat Dey Ga Hi Nahi Inn Kay Dil Mein Jo Hai Ussay Allah Hi Khoob Janta Hai Agar Mein Aisi Baat Kahon To Yaqeenan Mera Shumar Zalimon Mein Ho Jaye Ga.

07.187.Yeh Log Aap Say Qayamat Kay Mutalliq Sawal Kertay Hain Kay Iss Ka Waqoo Kabb Hoga? Aap Farma Dijiye Kay Iss Ka Ilm Sirf Meray Rab Hi Kay Pass Hai Uss Kay Waqt Per Uss Ko Siwa Allah Kay Koi Aur Zahir Na Keray Ga. Woh Aasmanon Aur Zamin Mein Bara Bhari (Haadsa) Hoga Woh Tum Per Mehaz Achanak Aa Paray Gi. Woh Aap Say Iss Tarah Poochtay Hain Jaisay Goya Aap Iss Ki Tehqiqaat Ker Chukay Hain. Aap Farma Dijiye Kay Iss Ka Ilm Khaas Allah Hi Kay Pass Hai Lekin Aksar Log Nahi Jantay.

46.09.Aap Keh Dijiye! Kay Mein Koi Bilkul Anokha Payghamber To Nahi Na Mujhay Yeh Maloom Hai Kay Meray Satha Aur Tumharay Sath Kiya Kiya Jayega. Mein To Sirf Ussi Ki Perwi Kerta Hun Jo Meri Taraf Wahee Bheji Jati Hai Aur Mein To Sirf Alal Elan Aagah Ker Denay Wala Hun.

20.110.Jo Kuch Inn Kay Aagay Peechay Hai Ussay Allah Hi Janta Hai Makhlooq Ka Ilm Uss Per Hawi Nahi Hosakta.

34.48.Keh Dijiye! Kay Mera Rab Haq (Sachi Wahee) Nazil Farmata Hai Woh Her Ghaib Ka Jannay Wala Hai.

34.50.Keh Dijiye! Kay Agar Mein Behak Jaon Jo Meray Behakney (Ka Wabaal) Mujh Per Hi Hai Aur Agar Mein Raahe-Hidayat Per Hun To Ba-Sabab Iss Wahee Kay Jo Mera

11.49.Yeh Khabren Ghaib Ki Khabron Mein Say Hain Jin Ki Wahee Hum Aap Ki Taraf Kertay Hain Enhen Iss Say Pehlay Aap Jantay Thay Aur Na Aap Ki Qom Iss Liye Aap Sabar Kertay Rahiye Yaqeen Maniye Kay Anjam Kaar Perhezgaron Kay Liye Hi Hai.

12.03.Hum Aap Kay Samney Behtareen Biyan Paish Kertay Hain Iss Waja Say Kay Hum Ney Aap Ki Janib Yeh Quran Wahee Kay Zariye Nazil Kiya Hai Aur Yaqeenan Aap Iss Say Pehlay Bey Khabron Mein Say Thay.

12.102.Yeh Ghaib Ki Khabron Mein Say Hai Jiss Ki Hum Aap Ki Taraf Wahee Ker Rahey Hain. Aap Unn Kay Pass Na Thay Jab Kay Unhon Ney Apni Baat Thaan Li Thi Aur Woh Fareb Kerney Lagay Thay.

28.44.Aur Toot Kay Maghribi Janib Jab Kay Hum Ney Musa (Alh-E-Salam) Ko Hukum Ehkaam Ki Wahee Phonchaee Thi Na To Tu Mojood Tha Aur Na Tu Dekhney Walon Mein Say Tha.

28.46.Aur Na Tu Toor Ki Taraf Tha Jab Kay Hum Ney Aawaz Di Bulkay Yeh Teray Perwerdigar Ki Taraf Say Aik Rehmat Hai Iss Liye Kay Tu Unn Logon Ko Hoshiyaar Ker Dey Jin Kay Pass Tujh Say Pehlay Koi Daraney Wala Nahi Phoncha Kiya Ajab Kay Woh Naseehat Hasil Ker Len.

10.20.Aur Yeh Log Yun Kehtay Hain Kay Inn Per Inn Kay Rab Ki Janib Say Koi Nishani Kiyon Nahi Nazil Hoti? So Aap Farma Dijiye Kay Ghaib Ki Khabar Sirf Allah Ko Hai So Tum Bhi Muntazir Raho Mein Bhi Tumharay Sath Munatazir Hun.

09.101.Aur Kuch Tumharay Gird-O-Paish Walon Mein Aur Kuch Madinay Walon Mein Aisay Munafiq Hain Kay Nifaq Per Aray Huye Hain Aap Inn Ko Nahi Jantay Inn Ko Hum Jantay Hain Hum Inn Ko Dohri Saza Den Gay Phir Woh Baray Bhari Azab Ki Taraf Bhejay Jayen Gay.

40.78.Yaqeenan Hum Aap Say Pehlay Bhi Boht Say Rasool Bhej Chukay Hain Jinn Mein Say Baaz Kay (Waqeyaat) Hum Aap Ko Biyan Ker Chukay Hain Aur Unn Mein Say Baaz Kay (Qissay) To Hum Ney Aap Ko Biyan Hi Nahi Kiye Aur Kissi Rasool Ka Yeh (Maqdoor) Na Tha Kay Koi Mojzza Allah Ki Ijazat Kay Baghair La Sakay Phir Jiss Waqt Allah Ka Hukum Aaye Ga Haq Kay Sath Faisla Ker Diya Jayega Aur Uss Jagah Ahl-E-Baatil Khasaray Mein Reh Jayen Gay.

04.163.Yaqeenan Hum Ney Aap Ki Taraf Issi Tarah Wahee Ki Hai Jaisay Kay Nooh (Alh-E-Salam) Aur Inn Kay Baad Walay Nabiyon Ki Taraf Ki Aur Hum Ney Wahee Ki Ibrahim Aur Isamail Aur Ishaq Aur Yaqoob Aur Unn Ki Aulad Per Aur Essa Aur Ayub Aur Younus Aur Haroon Aur Suleman Ki Taraf. Aur Hum Ney Dawood (Alh-E-Salam) Ko Zaboor Ata Farmaee.

04.164.Aur Aap Say Pehlay Kay Boht Say Rasoolon Kay Waqiyaat Hum Ney Aap Say Biyan Kiye Hain Aur Boht Say Rasoolon Kay Nahi Bhi Kiye Aur Musa (Alh-E-Salam) Say Allah Taalaa Ney Saaf Tor Per Kalaam Kiya.

04.165.Hum Ney Enhen Rasool Banaya Hai Khushkhabriyan Sunaney Walay Aur Aagah Kerney Walay Takay Logon Ki Koi Hujjat Aur Ilzam Rasoolon Kay Bhejney Kay Baad Allah Taalaa Per Reh Na Jaye. Allah Taalaa Bara Ghalib Aur Bara Hikmat Wala Hai.

04.166.Jo Kuch Aap Ki Taraf Utara Hai Uss Ki Babat Khud Allah Taalaa Gawahi Deta Hai Kay Issay Apney Ilm Say Utara Hai Aur Farishtay Bhi Gawahi Detay Hain Aur Allah Taalaa Bator Gawah Kafi Hai.

05.109.Jiss Roz Allah Taalaa Tamam Payghumbaron Ko Jama Keray Ga Phir Irshad Farmaye Ga Tum Ko Kiya Jawab Mila Tha Woh Arz Keren Gay Kay Hum Ko Kuch Khabar Nahi Tu Hi Be-Shak Posheedah Baaton Ko Poora Jannay Wala Hai.

02.133.Kiya (Hazrat) Yaqoob Kay Intiqal Kay Waqt Tum Mojood Thay? Jab Unhon Ney Apni Aulad Ko Kaha Kay Meray Baad Tum Kiss Ki Ibadat Kero Gay? To Sab Ney Jawab Diya Kay Aap Kay Mabood Ki Aur Aap Kay Aaba-O-Ajdaad Ibrahim (Alh-E- Salam) Aur Ismail (Alh-E-Salam) Aur Ishaq (Alh-E- Salam) Kay Mabood Ki Jo Mabood Aik Hi Hai Aur Hum Ussi Kay Farmanbardar Rahen Gay.

06.59.Aur Allah Taalaa Hi Kay Pass Hain Ghaib Ki Kunjiyan (Khazaney) Inn Ko Koi Nahi Janta Ba-Juz Allah Kay. Aur Woh Tamam Cheezon Ko Janta Hai Jo Kuch Khushki Mein Hain Aur Jo Kuch Daryaon Mein Hain Aur Koi Patta Nahi Girta Magar Woh Iss Ko Bhi Janta Hai Aur Koi Dana Zamin Kay Tareek Hisson Mein Nahi Parta Aur Na Koi Tarr Aur Na Koi Khush Cheez Girti Hai Magar Yeh Sab Kitab-E- Mubeen Mein Hain.

20.114.Pus Allah Aali Shaan Wala Sacha Aur Haqeeqi Badshah Hai. Tu Quran Parhney Mein Jaldi Na Ker Uss Say Pehlay Kay Teri Taraf Jo Wajee Ki Jati Hai Woh Poori Ki Jaye Haan Yeh Dua Ker Kay Perwerdigar! Mera Ilm Barha.

27.65.Keh Dijiye Kay Aasmano Walon Mein Say Zamin Walon Mein Say Siwaye Allah Kay Koi Ghaib Nahi Janta Unhen To Yeh Bhi Nahi Maloom Kay Kab Utha Kharay Kiye Jayen Gay?

03.44.Yeh Ghaib Ki Khabron Mein Say Hai Jissay Hum Teri Taraf Wahee Say Phonchatay Hain Tu Unn Kay Pass Na Tha Jabkay Woh Apney Qalam Daal Rahey Thay Kay Marium Ko Inn Mein Say Kaun Paa Ley Ga? Aur Na Tu Unn Kay Jhagray Kay Waqt Unn Kay Pass Tha.

38.67.Aap Keh Dijiye Kay Yeh Boht Bari Khabar Hai.

38.68.Jiss Say Tum Be-Parwah Ho Rahey Ho.

38.69.Mujhay Unn Buland Qadar Farishton Ki (Baat Cheet Ka) Koi Ilm Hi Nahi Jabkay Woh Takraar Ker Rahey Thay.

38.70.Meri Taraf Faqat Yehi Wahee Ki Jati Hai Kay Mein To Saaf Saaf Aagah Ker Denay Wala Hun.

Aisha Radi Allahu Anha Ne Bayan Kiya Ke Agar Tum Se Koi Ye Kehta Hai Mohammed Sallallaahu Alaihe Wasallam Elim-E-Gaib Jante The To Galat Kehta Hai Jhoota Hai Kyon Ki Allah-Taala Khud Kehta Hai Ke Gaib Ka Ilm Allah Ke Siva Aur Kisi Ko Nahi.

Sahih-Bukhari Vol 08 Book 98 Kitaab-ul-Tauheed Hadees 7380
Sahih Bukhari Vol 06 Book 65 Hadees 4855
Sahih Muslim Vol 01 Book 01 Hadees 439
Jamia Tirmizi Vol 02 Book Kitabul Tafseer Hadees 1202

05.116.Aur Woh Waqt Bhi Qabil-E-Ziker Hai Jab Kay Allah Taalaa Farmaye Ga Kay Aey Essa Ibn-E- Marium Kiya Tum Ney Inn Logon Say Keh Diya Tha Kay Mujh Ko Aur Meri Maa Ko Bhi Ilawa Allah Kay Mabood Qarar Dey Lo! Essa Arz Keren Gay Kay Mein To Tujh Ko Munza Samajhta Hun Mujh Ko Kissi Tarah Zeba Na Tha Kay Mein Aisi Baat Kehta Jiss Ka Kehney Ka Mujh Ko Koi Haq Nahi Agar Mein Ney Kaha Hoga To Tujh Ko Iss Ka Ilm Hoga. Tu To Meray Dil Kay Andar Ki Baat Bhi Janta Hai Aur Mein Teray Nafs Mein Jo Kuch Hai Uss Ko Nahi Janta. Tamam Ghaibon Ka Jannay Wala Tu Hi Hai.

05.117.Mein Ney To Inn Say Aur Kuch Nahi Kaha Magar Sirf Wohi Jo Tu Ney Mujh Say Kehney Ko Farmaya Tha Kay Tum Allah Ki Bandagi Ikhtiyar Kero Jo Mera Bhi Rab Hai Aur Tumhara Bhi Rab Hai. Mein Inn Per Gawah Raah Jab Tak Inn Mein Raah. Phir Jab Tu Ney Mujh Ko Utha Liya To Tu Hi Inn Per Mutlaa Raha. Aur Tu Her Cheez Ki Poori Khabar Rakhta Hai.

05.118.Agar Tu Inn Ko Saza Dey To Yeh Teray Banday Hain Aur Agar Tu Inn Ko Moaf Farma Dey To Tu Zabardast Hai Hikmat Wala Hai.

ALLAH TAALA SE DUA HAI KE HUM KO AAP SAB KO HAQ BAAT KEHNE KI AUR SUNNE KI US PAR AMAL KARNE KI TAFEEQ DE...AMEEN

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed