Pin It

POST 1 : Iman Kya Hai?


Couch ModePrint
Image result for islamBismillahir Rahmaan Nirraheem

Imaan, Huzur Mohammad (saw) ki baat ko sirf unke kah dene ki wajah se yakeeni taur per maan lene ka naam hai.

Imaan jin cheezo per laana hai wo ye hain:-
1. ALLAH ke siwa koi mabood nahi
2. Huzur (saw) ALLAH ke bande aur rasool hain
3. Farishto per
4. Aasmaani kitaabo per
5. Rasoolon par
6. Akhirat per
6. Achchi aur Buri Taqdeer par
7. Marne aur marne ke baad zinda kiye jaane per
8. Jannat aur Dozakh per

Imaan ka Kalima hai: LA ILAAHA ILLALLAAH, MOHAMMADUR RASOOLALLAH

Kalime ka yaqeen ye hai ki meri har zaroorat ka poora karne wala mehaz ALLAH hi hai. Main asbaab ki bajae, gaib se palta hoon. Meri rozi muqaddar ki hai aur wo mujhe maut ki tarah dhoondti hai aur zaroor mil kar rahegi.

Ek hadees me hai ki"Koi insaan us waqt tak nahin mar sakta jab tak ki apne muqaddar ki rozi na kha le."

Quran me ALLAH ne kaha hai ki"YA AIYUHAL LAZEENA AAMANU, AAMANU"
yani AE IMAANWALO IMAAN LAO. iska matlab ye hai ki Imaan lao sahaba ki tarah. Cheezo per se nigaah hata kar ALLAH ki taraf karo.

ALLAH ke nabi ko jab bhi koi zaroorat pesh aati ya koi pareshani aati to aap sabse pahle namaz ki taraf rukh kar lete. Lekin hamara haal ye hai ki jab hume koi zaroorat pesh aati hai to asbaab yaani cheezo ki taraf daudte hain.

Dawa ke andar ALLAH ne shifa nahi rakhi, dawa kisi ko lagti hai kisi ko nahi lagti.
Karobaar ke andar ALLAH ne paisa nahi rakha, koi kaamyaab hota hai aur koi nahi hota.
Ghar ke andar ALLAH ne hifazat aur izzat nahi rakhi, kisi ka rahta hai kisi ka gir jaata hai ya doosri cheeze use mita deti hain.
Behairhaal maut to saara hi mamla saaf kar deti hai.

Hazrat Saad bin abi waqqas jab ek dariyai ke kinare khade hue aur doosri taraf dushman tha to apne us dariya ko dekh kar kaha ki"Ye zara sa paani hamara kya bigaad lega, maine ALLAH k nabi se suna hai ki koi cheez insaan ko nahi mar sakti jab tak uski maut hi na aa jae." Ye kah kar apne ghode dariya me daal diye aur ghode per baith kar dariya paar kar liya.
Unke ghode ke khur bhi paani me nahi bheege the.

Ek sahabi k ghar me khane ke liye kuch nahi tha, biwi ne kaha kuch le aao, to aap ghar se nikle aur masjid pahuch kar do rakaat namaz padhi aur dua kari. Idhar biwi ghar me khane ki tayyari karne lagi ki ALLAH kuch na kuch bhejenge. Itne me kya dekhti hain ki aate ki chakki apne aap chalne lagi aur aata nikalne laga. Jab wo sahabi wapas aaye to hairan rah gaye aur chakki ko utha kar dekha to andar kuch nahi tha. AATA TO ALLAH DE RAHE THE.

Imaan ye chahta hai humse ki hum ALLAH per tawakkul karein aur cheezo per se dhyaan hata lein. Cheezo ko chhodna nahi hai per un par bahrosa nahi karna. Bharosa muqammal taur per ALLAH hi per karo.

Aur NAMAZ wo hathyaar hai jo humein ALLAH ke khazane se le kar degi, agar namaz sahi hai to.

Ek sahab bazaar se dahi ya kuch aur cheez ek matke me le kar ja rahe the. Unhe thokar lagi to wo matka gir kar toot gaya. Ek buzurg wahaan baithe the unhone kaha ki"APNI NAMAAZ SAHI KAR, AGAR TERI NAMAZ SAHI HOTI TO TERA NUKSAAN NA HOTA."

Ek aadmi masjid me jaldi jaldi NAMAZ padh raha tha. Hazrat Huzaifa raz. waha the, jab wo namaz padh chuka to use bulaya aur poocha,"Ye (jaldi- jaldi) namaz tum kitne waqt se padh rahe ho? Usne kaha 40 saal se. Hazrat Huzaifa bole ki"Agar yahi namaz padhte padhte tum mar gaye to AAKHIRAT me Huzur (saw) ke deen per nahi uthaye jaoge, kyunki Huzur (saw) ne kaha hai ki namaz aisi padho jaisi mujhe padhte hue dekho (aur aap namaz bahut itminaan se padhte the)."
Yaani sirf jaldi namaz padhne ki wajah se aakhirat kharab ho gayi.

EK EXPERIMENT KRIYE:-
AGLI BAAR JAB AAP ME KISI KI TABIYAT KHARAB HO YA KOI MUSEEBAT YA PARESHANI HO TO YE DEKHNA KI IS MUSEEBAT KA HAL ALLAH ME NAZAR AA RAHA HAI YA KISI AUR CHEEZ MEIN... ?

Gaur se padhnaa SABHI BHAI LOG bohot keemati Massage hai.

1) Imaan ke bagair Allah ko pehchaan nahi sakta.
2) Namaaz ke bagair Allah ke haq ko adaa nahi kar sakta.
3) ilm ke bagair Allah ki manshaa ko pehchaan nahi sakta.
4) Zikr ke bagair Allah ke Haq ko poora nahi kar sakta.
5) Ikraam ke bagair kuch bachaa ke layjaa nahi sakta.
6) Ikhlaas ke bagair Allah se kuch lay nahi sakta.
7) Da'wat ke bagair Insaaniat ko kuch day nahi sakta.

KALMA: Amal zindaa hoga.
NAMAAZ: Amal zaahir hoga.
ILM: Amal mukammal hoga.
ZIKR: Amal me Jaan aayegi.
IKRAAM: Amal mehfooz rahega.
IKHLAAS: Amal keemati banega.
DA'WAT: Amal dusroo tak pouchega.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed