Irshadat-e-Nabi sallaallahu alaihi wasallam
*> Tum me sub se zyada mujhe wo log Mahboob hai jo tum me Akhlaq k lihaz se sub se acche hai.(Bukhari)
*>Us zaat ki Qasam jis k hath me meri Jaan hai jo kuch mai janta hu agar tum jante to Rote zyada aur Haste kam.(Bukhari)
*> Insan ko jo kuch ata hua hai us me sub se behter “Husne Akhlaq” hai.(Bahiqi)
*> Taqwa aur Husne khalq k sabab Aksar log Jannat me Dakhil honge.(Tirmizi)
*> Zuban aur Shrmgah k sabab Aksar log Jahannam me Dakhil honge.(Tirmizi)
*> Qayamt k roz momin ki mizan me jo sub se Wazni cheez rakhi jaye gi wo Husne Akhlaq hai.(Abuda’ud)
*> Duniya mal’oon hai aur jo kuch duniya me hai wo bhi mal’oon hai.(ibe maja)
*> Aye allah! Mai tujh se ilm-e-nafe Aml Maqbool aur Pakiza rizq ki Darkhwast karta hu.(ibne maja)
*> Mere baad logon me sub se badh ker Fayaz wo shaksh hoga jis ne ilm hasil kiya phir use pehlaya.(Bahiqi)
*> Jis shaksh k sath Allah Tala bhalai chahta hai use deen me Samajh ata Farmata hai.(Muslim)
*> Jo koi Allah Tala se milne ko psnd karta hai to Allah Tala bhi us se milne ko psnd Farmate hai.(Bukhari)
*> Jo shaksh Allah ki Mulaqat ko na psnd karta hai to Allah bhi us ki Mulaqat ko na psnd karta hai.(Bukhari)
*> Sub se behter islam us shaksh ka hai jiski zaban aur hath se Muslman mahfooz rahe.(Ahmed)
*> Allah Tala duniya to us ko bhi deta hai jis se Mohabbat Farmata hai aur us ko bhi jis se Mohabbat nahi Farmata.(Bahiqi)
*> Allah Tala deen sirf usi ko ata karta hai jis se use Mohabbat hoti hai.(Bahiqi)
*> Burai k baad Naiki karlo ta k Naiki burai ko mitade.(Tirmizi)
*> Bokhl haya aur Iman dono kisi bande k Dil me bhi jama Nahi honge.(Nasai)
*> Jub koi cheez tumhare dil me Tard’dud paida kare to use Chhod do.(Ahmed)
*> Naiki kar k jis ko khushi ho aur Burai kark jis ko Gam aur Pachtawa ho to wo Momin hai.(Alhakim)
Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide