1. Momino ki aik Doosre se Mohabbat, Aik doosre per Rahem Aur aik doosre se Shafaqqat ki Misal Insani Jism ki si Hai, Jub is k Kisi aik A’azu ko Takleef ho to Pura Jism be Aarami aur Bukhar me Mubtela hota hai. (Sahi Muslim)
2.Iman me Kamil Tareen momin wo Hai jo un me Akhlaq me Sub se Accha ho, Aur tum me se Bahtareen wo hai jo Apni Biwiyo me Bahtareen ho.(Tirmizi)
3. Tum me se koi Us waqt tak Momin nahi ho Sakta Jub tak k wo Apne Bhai k liye Wahi Pasnd na kare jo Apne liye Pasnd karta Hai.(Sahi Bukhari)
4. Rahem karne walon per Rahman Rahem karta Hai, Tum Zameen Walon per Rahem karo, Tum per Aasman Wala Rahem Karega.(Tirmizi)
5. Apne Musalman Bhai ko Daikh ker Tera Muskura dena bhi Teri taraf se Sadqa hai.(Tirmizi) 6. Aur har Acchi Baat Sadqa hai.(Sahi Muslim)
7. Jo Shaks Allah aur Yaoum Aakhirat per Iman Rakhta Hai usae Chahiye k Apne Hamsaye se Accha Salook Karen. (Sahi Muslim)
8. Allah Tumhare Jismon aur Tumhari Surton ko Nahi daikhta bal k wo Tumhare Dilon ko daikhta hai.(Sahi Muslim)
9. Mazdoor ko us ki Ujrat, us ka Pasina Khushk hone se Pahle do.(sanan Ibne Maja)
10. Aik Shaks safar Karraha tha, Raste me use Shadeed pyas Lagi to us ne Aik kunwa Paya, wo us me Utra aur Pani piya, Phir jub wo Baher Nikla to daikha k aik kutta Haanp raha hai, aur Pyas k Mare Mitti chat raha hai, us Shaks ne Dil me kaha: us Kutte ko wiase hi pyas Lagi Jaisi mujhe Lagi thi, Tub wo Kunwe me utra aur Apna Mozah (chamde ki Jarab) Pani se Bhara, Phir us ne mozah apne Muh me Thama Hatta k wo Kunwe se Nikal Aaya, so Us ne Kutte ko Pani Pilaya, Phir Allah tala ne us ki Ye Naiki Qabool ki Aur use Baksh diya, Sahaba R.A ne Kaha: Aye Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya un Janwaron k bare me bhi Hamare liye Ajr hai? Aap ne Farmaya: Har Jandar k bare me Ajr Hai. (Sahi Muslim)

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide