Pin It

Hindi Islamic SMS / Text Messages


Couch ModePrint

Musibat, Rehmat aur neymat

Golden word's
Jo musibat apko Allah ki taraf
mutawajja kar de,wo musibat nahin rehmat he,
Aor
Jo neymat apko Allah se ghafil kardey
woh neymat nahin, musibat hay.

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT


IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain
(Hazrat Ali)

ibadat main 2 chizain

Mujhey ibadat main 2 chizain bohut pasand hain,
Sard mosam main FAJAR ki NAMAZ
aur
Garam mosam main RAMZAN k rozay
{Hazrat Ali R.A}

Hamain maaf farma                                                         

Maikamzor hun tu taqat wala hai
Ey Allah!
Mai ajiz hon tu be-neyaz hai
Ey Allah!
Mai mangta hon tu Daata hai
Ey Allah!
Mai mujrim hon tu shahensha hai
Tujhe teri shane raheemi-o kareemi ka wasta' Hazrat Muhammad salalaho aleyhe wasalam k sadke muj par karam farma kiyun k mai kisi imtehan aur Aazmaish k qabil nahi
Ey Allah!
tu muaf karne wala hai or mafi pasnd krta hai
Ey Allah!
Humen muaf farma aur achay kaam krneki toufeeq dey
AMEEN

Zindagi bewafa kion hoti hai?

Zindagi bewafa kion hoti hai?
Wafa kernay ki saza kion hoti hai?
Choti si baat pe baha dety hain KHOON
Insan mein itni ANA kion hoti hai?
Karta hun mein jis se bar baar TAUBA,
Elahi mujhse wohi KHATA kion hoti hai,
Banatay to hain hum apne haton se MASJID,
NAMAZ apni hi phir QAZA kion hoti hai..

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed