Pin It

DO YOU KNOW ABOUT MEANING OF "SALAAM" IN ISLAM ???


Couch ModePrint

"Salaam" -Quran-o-Hadees Ki Raoshni Me 

Image result for assalamualaikum
Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawabdo ya onhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allahtala har cheez ka Hisab lene wala hai.
(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)

Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)

>Salaam Karna Sunnat Hai.
>Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai. Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.

>Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha " Assalamu Alaikum" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi Aaye aur kaha " Assalamu Alaikum warahmatullah" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya " Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh " Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood).

(yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi muslim)

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu AlaihiWasallam ne Farmaya: “ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)

>Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .

> Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).

> Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).

>Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.

> Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.

> Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.

> Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq Hoga.

> Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, BalkeGunah ka Bais Hai.

>Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k logSalaam karenge sunnat samajh kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen.

Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.

Tool to Insert codes in Comments : Convert My Code. Hide

Select to parse the code (not required if code is already parsed):

Translate

Search This Blog

Blog Archive

Trending Now

Page Visitors

Powered by Blogger.

Live Traffic Feed